Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhala kab tak koi tanha rahega

Nasir Zaidi

bhala kab tak koi tanha rahega

Nasir Zaidi

MORE BYNasir Zaidi

    bhalā kab tak koī tanhā rahegā

    kahāñ tak ye nagar suunā rahegā

    shab-e-furqat to kaT jā.egī lekin

    tumhāre jaur charchā rahegā

    hameñ tark-e-ta.alluq bhī gavārā

    zamāna kab magar chipkā rahegā

    jahāñ bhī naam aa.egā tumhārā

    yaqīnan tazkira merā rahegā

    junūn-e-ishq vāraftagī par

    subuk-sar muddatoñ sahrā rahegā

    bhala kab tak koi tanha rahega

    kahan tak ye nagar suna rahega

    shab-e-furqat to kaT jaegi lekin

    tumhaare jaur ka charcha rahega

    hamein tark-e-talluq bhi gawara

    zamana kab magar chipka rahega

    jahan bhi nam aaega tumhaara

    yaqinan tazkira mera rahega

    junun-e-ishq ki waraftagi par

    subuk-sar muddaton sahra rahega

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 718)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now