bhala kab tak ye majburi rahegi
bhalā kab tak ye majbūrī rahegī
ki apne darmiyāñ duurī rahegī
kabhī tum aaoge bhī yā hamesha
ye mahrūmī ye mahjūrī rahegī
mujhe bhī koī bahkāvā rahegā
tumheñ bhī koī mā'zūrī rahegī
yahī masrūfiyat hogī dinoñ meñ
yahī rātoñ kī mazdūrī rahegī
tumhārā rāsta taktā rahūñgā
isī ḳhidmat pe māmūrī rahegī
na jaane chāñd kis jānib se nikle
tavajjoh har taraf puurī rahegī
'sha'ūr' āñkhoñ kī qindīleñ bujhā lo
na be-rangī na be-nūrī rahegī
bhala kab tak ye majburi rahegi
ki apne darmiyan duri rahegi
kabhi tum aaoge bhi ya hamesha
ye mahrumi ye mahjuri rahegi
mujhe bhi koi bahkawa rahega
tumhein bhi koi ma'zuri rahegi
yahi masrufiyat hogi dinon mein
yahi raaton ki mazduri rahegi
tumhaara rasta takta rahunga
isi KHidmat pe mamuri rahegi
na jaane chand kis jaanib se nikle
tawajjoh har taraf puri rahegi
'sha'ur' aankhon ki qindilen bujha lo
na be-rangi na be-nuri rahegi
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 82)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.