aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhang khate hain na ganja na charas pite hain

Faiz Khalilabadi

bhang khate hain na ganja na charas pite hain

Faiz Khalilabadi

MORE BYFaiz Khalilabadi

    bhañg khāte haiñ na gāñjā na charas piite haiñ

    ham vo bhañvare haiñ jo ehsās ras piite haiñ

    aap is Dhañg se amrit bhī nahīñ sakte

    jis hunar-mandī se ham ashk-e-nafas piite haiñ

    sab yahīñ chhoḌ ke jaanā hai ḳhabar hai lekin

    phir ye ham kis liye duniyā havas piite haiñ

    jo tirī yaad ke kiiḌe haiñ badan ke andar

    vo mirī ruuh ko khāte haiñ plus piite haiñ

    tab kahīñ hotā hai ik shahd chhattā tayyār

    an-ginat phūloñ ḳhuuñ jab ye magas piite haiñ

    aap ik buuñd bhī leñ to ġhashī aa jaa.e

    ġham ke aañsū jo asīrān-e-qafas piite haiñ

    'faiz' fikr botal meñ hai jo zahr-e-suḳhan

    dekhnā hai abhī kitne baras piite haiñ

    bhang khate hain na ganja na charas pite hain

    hum wo bhanware hain jo ehsas ka ras pite hain

    aap is Dhang se amrit bhi nahin pi sakte

    jis hunar-mandi se hum ashk-e-nafas pite hain

    sab yahin chhoD ke jaana hai KHabar hai lekin

    phir ye hum kis liye duniya ki hawas pite hain

    jo teri yaad ke kiDe hain badan ke andar

    wo meri ruh ko khate hain plus pite hain

    tab kahin hota hai ek shahd ka chhatta tayyar

    an-ginat phulon ka KHun jab ye magas pite hain

    aap ek bund bhi pi len to ghashi aa jae

    gham ke aansu jo asiran-e-qafas pite hain

    'faiz' ki fikr ki botal mein hai jo zahr-e-suKHan

    dekhna hai ki abhi kitne baras pite hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now