aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila

Hasnain Jafri

bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila

Hasnain Jafri

MORE BYHasnain Jafri

    bhare safar meñ ghaḌī-bhar āshnā na milā

    shadīd pyaas meñ sahrā sarāb na milā

    guzar ga.e to hazāroñ nishāñ the pahle se

    palaT ke aa.e to apnā naqsh-e-pā na milā

    kabhī jo dhuup to paikar pighal ga.e saare

    koī bhī naqsh mujhe mere ḳhvāb na milā

    ruke hue sabhī aañsū chhalak ga.e lekin

    vo shaḳhs phir bhī nigāhoñ se boltā na milā

    Thahar ga.ī thī mire paas chāñdnī ki use

    tumhāre shahr meñ koī bhī jāgtā na milā

    havā ke saath āvāz lauT aa.ī hai

    ḳhalā meñ phirtī rahī koī ham-navā na milā

    chalā to merī nazar meñ hazār rāheñ thiiñ

    bhaTak gayā to mujhe ghar rāsta na milā

    bhare safar mein ghaDi-bhar ka aashna na mila

    shadid pyas mein sahra sarab sa na mila

    guzar gae to hazaron nishan the pahle se

    palaT ke aae to apna hi naqsh-e-pa na mila

    kabhi jo dhup to paikar pighal gae sare

    koi bhi naqsh mujhe mere KHwab sa na mila

    ruke hue sabhi aansu chhalak gae lekin

    wo shaKHs phir bhi nigahon se bolta na mila

    Thahar gai thi mere pas chandni ki use

    tumhaare shahr mein koi bhi jagta na mila

    hawa ke sath hi aawaz lauT aai hai

    KHala mein phirti rahi koi ham-nawa na mila

    chala to meri nazar mein hazar rahen thin

    bhaTak gaya to mujhe ghar ka rasta na mila

    Source:

    siip (Magzin) (Pg. 273)

    • Author: Nasiim Durraani
      • Edition:  39 (Quarterly)
      • Publisher: Fikr-e-Nau
      • Year of Publication:  39 (Quarterly)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now