Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bharen na waqt ke hathon jarahaten teri

Khursheed Rizvi

bharen na waqt ke hathon jarahaten teri

Khursheed Rizvi

MORE BYKhursheed Rizvi

    bhareñ na vaqt ke hāthoñ jarāhateñ terī

    rakheñ sambhāl ke dil ne amānateñ terī

    chhupā ke tujh se kahāñ apne roz-o-shab le jā.ūñ

    jahān-e-nūr tirā aur zulmateñ terī

    bichhaḌ ke tujh se milā umr-bhar sannāTā

    banā ga.iiñ mujhe tanhā rifāqateñ terī

    hai vo fātah-e-ālam ki ek duniyā ne

    shikast khā ke sarāhī himmateñ terī

    tire nuqūsh-e-qadam se bahār thī in

    haiñ muntazir mire dil masāfateñ terī

    kahāñ hai shām-e-tamannā malāhatoñ vo rañg

    kahāñ haiñ sub.h-e-tasavvur sabāhateñ terī

    dil-e-hazīñ tirī chaukhaT pe umr kaun gañvā.e

    kabhī samajh meñ na aa.iiñ zarūrateñ terī

    azal se shīsha-e-gardūñ meñ ret chaltī hai

    kabhī shumār meñ aa.iiñ na sā.ateñ terī

    merī shirkat-e-hastī kahīñ qubūl to kar

    tamām rañj mire sab masarrateñ terī

    bharen na waqt ke hathon jarahaten teri

    rakhen sambhaal ke dil ne amanaten teri

    chhupa ke tujh se kahan apne roz-o-shab le jaun

    jahan-e-nur tera aur zulmaten teri

    bichhaD ke tujh se mila umr-bhar ka sannaTa

    bana gain mujhe tanha rifaqaten teri

    tu hai wo fatah-e-alam ki ek duniya ne

    shikast kha ke sarahi hi himmaten teri

    tere nuqush-e-qadam se bahaar thi in ki

    hain muntazir mere dil ki masafaten teri

    kahan hai sham-e-tamanna malahaton ka wo rang

    kahan hain subh-e-tasawwur sabahaten teri

    dil-e-hazin teri chaukhaT pe umr kaun ganwae

    kabhi samajh mein na aain zaruraten teri

    azal se shisha-e-gardun mein ret chalti hai

    kabhi shumar mein aain na saaten teri

    tu meri shirkat-e-hasti kahin qubul to kar

    tamam ranj mere sab masarraten teri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now