Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

Hakeem Manzoor

bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

Hakeem Manzoor

MORE BYHakeem Manzoor

    bhejtā huuñ har roz maiñ jis ko ḳhvāb koī an-dekhā

    us āñkheñ saarī ḳhushbū us badan ā.īnā

    us ne bas itnā pūchā sabz chīnār ab kitne haiñ

    sar se tak laraz uThā maiñ dil pe girā ik sho.ala

    chaTTānoñ ke siine par bhī khul kar jo muskātā hai

    sar-mastī sar-chashma hai vo ik paudā nanhā

    logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai maTiyālā kyuuñ

    maiñ ne jab is ko dekhā thā ye thā ik ā.īnā

    barf shagūfoñ ke mausam meñ kaash ik baar aa jaate tum

    mere ḳhatoñ ḳhushbuoñ hotā kuchh andāzā

    phir bhī ai 'manzūr' kisī par haath na ab tak uTThā merā

    laḌne fan siikh liyā hai go maiñ ne bhī thoḌā

    bhejta hun har roz main jis ko KHwab koi an-dekha sa

    us ki aankhen sari KHushbu us ka badan aaina sa

    us ne bas itna hi pucha sabz chinar ab kitne hain

    sar se pa tak laraz uTha main dil pe gira ek shoala sa

    chaTTanon ke sine par bhi khul kar jo muskata hai

    sar-masti ka sar-chashma hai wo ek pauda nanha sa

    logo lab kholo kuchh bolo jhelum hai maTiyala kyun

    main ne jab is ko dekha tha ye tha ek aaina sa

    barf shagufon ke mausam mein kash ek bar aa jate tum

    mere KHaton ki KHushbuon ka hota kuchh andaza sa

    phir bhi ai 'manzur' kisi par hath na ab tak uTTha mera

    laDne ka fan sikh liya hai go main ne bhi thoDa sa

    Source:

    Karwaan-e-Ghazal (Pg. 397)

    • Author: Farooq Argali
      • Edition: 2004
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
      • Year of Publication: 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now