bhiD mein sikka phenka kar
bhiiḌ meñ sikka pheñkā kar
aur tamāshā dekhā kar
duniyā tujh ko rauñd chukī
sho'la ban yā shikva kar
pahle koī charāġh jalā
phir saa.e kā pīchhā kar
sab zāhir ho jaatā hai
kuchh dil meñ bhī rakkhā kar
bāhar ke sab gard-o-ġhubār
ghar ke bāhar rakkhā kar
bhiD mein sikka phenka kar
aur tamasha dekha kar
duniya tujh ko raund chuki
sho'la ban ya shikwa kar
pahle koi charagh jala
phir sae ka pichha kar
sab zahir ho jata hai
kuchh dil mein bhi rakkha kar
bahar ke sab gard-o-ghubar
ghar ke bahar rakkha kar
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 101)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.