bhiD thi hadd-e-nazar tak kitna uncha shor tha

bhiD thi hadd-e-nazar tak kitna uncha shor tha
Mohammad Hasnain Parwez
MORE BYMohammad Hasnain Parwez
bhiiḌ thī hadd-e-nazar tak kitnā ūñchā shor thā
ḳhāmushī bhī chauñk uThī thī achchhā-ḳhāsā shor thā
mujh ko aisā lag rahā thā be-hisī ke daur meñ
log saare mar ga.e the aur zinda shor thā
aisā pahlī baar hai ye donoñ yakjā ho ga.e
jitnī pyārī ḳhāmushī thī utnā pyārā shor thā
kyā batā.ūñ maiñ tumheñ un jāduī lamhāt meñ
dekhte hī tum ko dil meñ mere kaisā shor thā
ḳhāmushī ne kaan mere bhar diye the is qadar
koī chup ho jaa.e to bhī mujh ko lagtā shor thā
āgahī-o-'ilm kā fan yuuñ ikaTThā thā miyāñ
log the jitne ziyāda utnā thoḌā shor thā
bhiD thi hadd-e-nazar tak kitna uncha shor tha
KHamushi bhi chaunk uThi thi achchha-KHasa shor tha
mujh ko aisa lag raha tha be-hisi ke daur mein
log sare mar gae the aur zinda shor tha
aisa pahli bar hai ye donon yakja ho gae
jitni pyari KHamushi thi utna pyara shor tha
kya bataun main tumhein un jadui lamhat mein
dekhte hi tum ko dil mein mere kaisa shor tha
KHamushi ne kan mere bhar diye the is qadar
koi chup ho jae to bhi mujh ko lagta shor tha
aagahi-o-'ilm ka fan yun ikaTTha tha miyan
log the jitne ziyaada utna thoDa shor tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.