Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhigi bhigi ghaTaen uThin dhimi dhimi phuwaren aain

Ijtiba Rizvi

bhigi bhigi ghaTaen uThin dhimi dhimi phuwaren aain

Ijtiba Rizvi

MORE BYIjtiba Rizvi

    bhīgī bhīgī ghaTā.eñ uThīñ dhīmī dhīmī phuvāreñ aa.iiñ

    rafta rafta tamanna jaagī chupke chupke bahāreñ aa.iiñ

    zikr-o-fikr meñ kuchh din jhūle hosh nahīñ ab haiñ vo jhakole

    aage rim-jhim rim-jhim būñdeñ aur pīchhe bauchhāreñ aa.iiñ

    ālam-e-shauq se un qaidī tauq-o-salāsil pahne aayā

    kāñpe arsh ke paa.e jab zanjīroñ jhankāreñ aa.iiñ

    muddat se sailāb bane vo buniyādoñ ko khod rahe the

    TūTne par ab dair-e-ḳhudī pathrīlī dīvāreñ aa.iiñ

    donoñ jahāñ saarī pūñjī baar huī hai jin nāqoñ par

    mard-e-gadā ke haath meñ kyūñkar un nāqoñ mahāreñ aa.iiñ

    tere faqīr ko rasta chalte izzat-o-zillat meñ uljhāne

    mandir se pūjā.eñ dauḌīñ masjid se phaTkāreñ aa.iiñ

    gosh-e-arsh bosa lene dahr se uTh kar baarī baarī

    kāfir fariyādeñ aa.iiñ ġhāzī lālkāreñ aa.iiñ

    us apnī fitrat jiitī mere gunāh pe rahmat barsī

    jaise maañ chhātī umDī jaise duudh dhāreñ aa.iiñ

    bhigi bhigi ghaTaen uThin dhimi dhimi phuwaren aain

    rafta rafta tamanna jagi chupke chupke bahaaren aain

    zikr-o-fikr mein kuchh din jhule hosh nahin ab hain wo jhakole

    aage rim-jhim rim-jhim bunden aur pichhe bauchhaaren aain

    aalam-e-shauq se un ka qaidi tauq-o-salasil pahne aaya

    kanpe arsh ke pae jab zanjiron ki jhankaren aain

    muddat se sailab bane wo buniyaadon ko khod rahe the

    TuTne par ab dair-e-KHudi ki pathrili diwaren aain

    donon jahan ki sari punji bar hui hai jin naqon par

    mard-e-gada ke hath mein kyunkar un naqon ki mahaaren aain

    tere faqir ko rasta chalte izzat-o-zillat mein uljhane

    mandir se pujaen dauDin masjid se phaTkaren aain

    gosh-e-arsh ka bosa lene dahr se uTh kar bari bari

    kafir ki fariyaaden aain ghazi ki lalkaren aain

    us ki apni fitrat jiti mere gunah pe rahmat barsi

    jaise man ki chhati umDi jaise dudh ki dhaaren aain

    Source:

    Shola-e-Nida (Pg. 197)

    • Author: Ijtiba Rizvi
      • Publisher: Husain Ahmad Madani
      • Year of Publication: 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now