bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha

Saba Afghani

bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha

Saba Afghani

MORE BYSaba Afghani

  bhuul jaanā thā to phir apnā banāyā kyuuñ thā

  tum ne ulfat yaqīñ mujh ko dilāyā kyuuñ thā

  ek bhaTke hue raahī ko sahārā de kar

  jhūTī manzil nishāñ tum ne dikhāyā kyuuñ thā

  ḳhud tūfān uThānā thā mohabbat meñ agar

  Dūbne se mirī kashtī ko bachāyā kyuuñ thā

  jis ta.abīr ab ashkoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ

  ḳhvāb aisā merī āñkhoñ ko dikhāyā kyuuñ thā

  apne anjām pe ab kyuuñ ho pashemān 'sabā'

  ek bedard se dil tum ne lagāyā kyuuñ thā

  bhul jaana tha to phir apna banaya kyun tha

  tum ne ulfat ka yaqin mujh ko dilaya kyun tha

  ek bhaTke hue rahi ko sahaara de kar

  jhuTi manzil ka nishan tum ne dikhaya kyun tha

  KHud hi tufan uThana tha mohabbat mein agar

  Dubne se meri kashti ko bachaya kyun tha

  jis ki tabir ab ashkon ke siwa kuchh bhi nahin

  KHwab aisa meri aankhon ko dikhaya kyun tha

  apne anjam pe ab kyun ho pasheman 'saba'

  ek bedard se dil tum ne lagaya kyun tha

  RECITATIONS

  Atir Ali Syed

  Atir Ali Syed

  Atir Ali Syed

  bhuul jaanaa thaa to phir apnaa banaayaa kyuu.n thaa Atir Ali Syed

  Source :
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY