bhul meri qubul ki usne
bhuul merī qubūl kī us ne
naqd qīmat vasūl kī us ne
kis kī chāhat thī us ke siine meñ
baat jab bā-usūl kī us ne
chāhiye us ko sab kī hamdardī
apnī sūrat malūl kī us ne
dil nahīñ māntā kisī kī bhī
bahs saarī fuzūl kī us ne
kaise hañs kar 'safī' mirī ḳhvāhish
apne qadmoñ kī dhuul kī us ne
bhul meri qubul ki us ne
naqd qimat wasul ki us ne
kis ki chahat thi us ke sine mein
baat jab ba-usul ki us ne
chahiye us ko sab ki hamdardi
apni surat malul ki us ne
dil nahin manta kisi ki bhi
bahs sari fuzul ki us ne
kaise hans kar 'safi' meri KHwahish
apne qadmon ki dhul ki us ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.