Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr

Zia Faruqi

bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

    bhuul paayā na vo āñkheñ na vo chehra tā-umr

    kaisā manzar thā mirī aañkh meñ khaTkā tā-umr

    zindagī tujh se mirā ishq bhī āsān na thā

    paar kartā rahā maiñ aag dariyā tā-umr

    raat raanī mahaktī rahī ghar ke andar

    aur bāhar rahā ḳhurshīd pahra tā-umr

    bhuul jaane amal bhī koī āsān na thā

    ashk ban-ban ke lahū aañkh se Tapkā tā-umr

    maiñ tahī-dast rahā apnī vahshat shikār

    aur kartī rahī duniyā mirā pīchhā tā-umr

    apne qadmoñ se kabhī us ko nikalne na diyā

    mujh se bad-zan rahā ḳhud merā saayā tā-umr

    saarī ḳhushbū to mire ghar ke dar-o-bām meñ thī

    maiñ 'ziyā' kis ke liye dasht meñ bhaTkā tā-umr

    bhul paya na wo aankhen na wo chehra ta-umr

    kaisa manzar tha meri aankh mein khaTka ta-umr

    zindagi tujh se mera ishq bhi aasan na tha

    par karta raha main aag ka dariya ta-umr

    raat ki rani mahakti rahi ghar ke andar

    aur bahar raha KHurshid ka pahra ta-umr

    bhul jaane ka amal bhi koi aasan na tha

    ashk ban-ban ke lahu aankh se Tapka ta-umr

    main tahi-dast raha apni hi wahshat ka shikar

    aur karti rahi duniya mera pichha ta-umr

    apne qadmon se kabhi us ko nikalne na diya

    mujh se bad-zan raha KHud mera hi saya ta-umr

    sari KHushbu to mere ghar ke dar-o-baam mein thi

    main 'ziya' kis ke liye dasht mein bhaTka ta-umr

    Source:

    Dasht-e-Shab (Pg. 75)

    • Author: Zia Faruqi
      • Publisher: U.P Computer, Bhopal
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now