Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhul shayad bahut baDi kar li

Bashir Badr

bhul shayad bahut baDi kar li

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    bhuul shāyad bahut baḌī kar

    ham ne duniyā se dostī kar

    tum mohabbat ko khel kahte ho

    ham ne barbād zindagī kar

    shab nazreñ bachā ke dekh liyā

    āñkhoñ āñkhoñ meñ baat bhī kar

    āshiqī meñ bahut zarūrī hai

    bevafā.ī kabhī kabhī kar

    ham nahīñ jānte charāġhoñ ne

    kyoñ añdheroñ se dostī kar

    dhaḌkaneñ dafn ho ga.ī hoñgī

    dil meñ dīvār kyoñ khaḌī kar

    bhul shayad bahut baDi kar li

    hum ne duniya se dosti kar li

    tum mohabbat ko khel kahte ho

    hum ne barbaad zindagi kar li

    shab ki nazren bacha ke dekh liya

    aankhon aankhon mein baat bhi kar li

    aashiqi mein bahut zaruri hai

    bewafai kabhi kabhi kar li

    hum nahin jaante charaghon ne

    kyon andheron se dosti kar li

    dhaDkanen dafn ho gai hongi

    dil mein diwar kyon khaDi kar li

    Source:

    Aamad (Pg. 101)

    • Author: Bashir Badr
      • Publisher: Maktaba Deen-o-Adab, Lucknow
      • Year of Publication: 1958
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now