Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak

Goya Faqir Mohammad

bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak

Goya Faqir Mohammad

MORE BYGoya Faqir Mohammad

    bhūlā hai ba.ad-e-marg mujhe dost yaañ talak

    sag bhī na us aayā mirī ustuḳhāñ talak

    go ham qafas se na sake bostāñ talak

    uḌ uḌ ke rañg-e-chehra gayā par vahāñ talak

    bulbul hujūm-e-gul hai chaman meñ yahāñ talak

    phūloñ se chhā gayā hai tirā āshiyāñ talak

    kab pahuñchī aah zo.af se gosh-e-butāñ talak

    sau Thahar ke siine se aa.ī zabāñ talak

    parvāz pesh aziiñ thī mirī āsmāñ talak

    ab to chaman se na sakūñ āshiyāñ talak

    aisā kiyā za.iif ġham-e-intizār ne

    āñkhoñ ko merī baar hai ḳhvāb-e-girāñ talak

    aalim huuñ ilm-e-ishq maiñ kar na ham-sarī

    ai andalīb hai paḌī bostāñ talak

    us mah ke vasf se ye huā martaba buland

    pahuñchī mirī ġhazal zamīñ āsmāñ talak

    pās-e-adab rahā hai junūñ meñ bhī is qadar

    aatā huuñ sajde kartā tire āstāñ talak

    us mast ke haiñ gesūoñ ke silsile meñ ham

    saaqī murīd jis hai pīr-e-muġhāñ talak

    rakkheñ adab se paañv na ham terī raah meñ

    bāhar jab aap se hoñ to pahuñcheñ vahāñ talak

    fasl-e-ḳhizāñ meñ gul to aanā muhāl hai

    bijlī kaash aa.e mirī āshiyāñ talak

    kyūñkar na sar phire mirā us teġh ke liye

    gardish justujū meñ hai marg-e-nishāñ talak

    sau baar apnī fikr adam se pare ga.ī

    lekin na pahuñchī yaar ke mu-e-bayāñ talak

    us huur makān hai jannat se bhī pare

    rizvāñ pahuñch sake na kabhī pāsbāñ talak

    is darja fart-e-zo.af se ham pīchhe rah ga.e

    pahuñchī na aah bhī jaras-e-kārvāñ talak

    dil meñ hamāre us mohabbat ne ghar kiyā

    pahuñchā hai is makān se jo lā-makāñ talak

    allāh re dimāġh zarā dekh ai humā

    aayā na be-talab sag-e-yār ustuḳhāñ talak

    us maah ne jo sar mirā Thukrāyā paañv se

    pahuñchā dimāġh aaj mirā āsmāñ talak

    naḳhl-e-murād-e-yār huā aaj bārvar

    sad shukr kaT ke sar mirā pahuñchā sināñ talak

    phir jaa.e tiir aa ke vo bargashta baḳht huuñ

    ruḳh phere dekh kar mujhe us kamāñ talak

    marne ke ba.ad hai sag-e-jānāñ intizār

    kah do humā na aa.e mirī ustuḳhāñ talak

    sau baar aa ke maut bhī furqat meñ phir ga.e

    bargashtagī nasīb kahiye kahāñ talak

    'goyā' ye nā-tavānī ehsān mujh pe hai

    aane diyā na yaar shikva zabāñ talak

    bhula hai baad-e-marg mujhe dost yan talak

    sag bhi na us ka aaya meri ustuKHan talak

    go hum qafas se ja na sake bostan talak

    uD uD ke rang-e-chehra gaya par wahan talak

    bulbul hujum-e-gul hai chaman mein yahan talak

    phulon se chha gaya hai tera aashiyan talak

    kab pahunchi aah zoaf se gosh-e-butan talak

    sau ja Thahar ke sine se aai zaban talak

    parwaz pesh azin thi meri aasman talak

    ab to chaman se ja na sakun aashiyan talak

    aisa kiya zaif gham-e-intizar ne

    aankhon ko meri bar hai KHwab-e-giran talak

    aalim hun ilm-e-ishq ka main kar na ham-sari

    ai andalib tu hai paDi bostan talak

    us mah ke wasf se ye hua martaba buland

    pahunchi meri ghazal ki zamin aasman talak

    pas-e-adab raha hai junun mein bhi is qadar

    aata hun sajde karta tere aastan talak

    us mast ke hain gesuon ke silsile mein hum

    saqi murid jis ka hai pir-e-mughan talak

    rakkhen adab se panw na hum teri rah mein

    bahar jab aap se hon to pahunchen wahan talak

    fasl-e-KHizan mein gul ka to aana muhaal hai

    bijli hi kash aae meri aashiyan talak

    kyunkar na sar phire mera us tegh ke liye

    gardish si justuju mein hai marg-e-nishan talak

    sau bar apni fikr adam se pare gai

    lekin na pahunchi yar ke mu-e-bayan talak

    us hur ka makan hai jannat se bhi pare

    rizwan pahunch sake na kabhi pasban talak

    is darja fart-e-zoaf se hum pichhe rah gae

    pahunchi na aah bhi jaras-e-karwan talak

    dil mein hamare us ki mohabbat ne ghar kiya

    pahuncha hai is makan se jo la-makan talak

    allah re dimagh zara dekh ai huma

    aaya na be-talab sag-e-yar ustuKHan talak

    us mah ne jo sar mera Thukraya panw se

    pahuncha dimagh aaj mera aasman talak

    naKHl-e-murad-e-yar hua aaj barwar

    sad shukr kaT ke sar mera pahuncha sinan talak

    phir jae tir aa ke wo bargashta baKHt hun

    ruKH phere dekh kar mujhe us ki kaman talak

    marne ke baad hai sag-e-jaanan ka intizar

    kah do huma na aae meri ustuKHan talak

    sau bar aa ke maut bhi furqat mein phir gae

    bargashtagi nasib ki kahiye kahan talak

    'goya' ye na-tawani ka ehsan mujh pe hai

    aane diya na yar ka shikwa zaban talak

    Source:

    Diwan-e-Goya(Rekhta Website) (Pg. 98)

      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now