Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha

Rahman Khawar

bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    bichhā huā koī tanhā.iyoñ jaal na thā

    tire firāq se pahle ye ghar haal na thā

    thake to yuuñ ki hameñ aarzū thī saa.e

    sa.ūbatoñ se safar badan niDhāl na thā

    kuchh aise moḌ pe bichhḌe the ham mohabbat meñ

    mujhe bhī rañj use bhī koī malāl na thā

    nigāh ne kisī aur pe hotī

    jo ham shikasta diloñ tujhe ḳhayāl na thā

    kabhī kabhī koī bādal baras bhī jaatā thā

    zamīn-e-shahr itnā burā to haal na thā

    chhupā huā mirā dushman thā ḳhud mire andar

    so apne-āp se bachne kuchh savāl na thā

    ga.e dinoñ tujhe dhyān tak nahīñ 'ḳhāvar'

    tirā vo ishq yahī hai jise zavāl na thā

    bichha hua koi tanhaiyon ka jal na tha

    tere firaq se pahle ye ghar ka haal na tha

    thake to yun ki hamein aarzu thi sae ki

    saubaton se safar ki badan niDhaal na tha

    kuchh aise moD pe bichhDe the hum mohabbat mein

    mujhe bhi ranj use bhi koi malal na tha

    nigah tu ne kisi aur hi pe ki hoti

    jo hum shikasta dilon ka tujhe KHayal na tha

    kabhi kabhi koi baadal baras bhi jata tha

    zamin-e-shahr ka itna bura to haal na tha

    chhupa hua mera dushman tha KHud mere andar

    so apne-ap se bachne ka kuchh sawal na tha

    gae dinon ka tujhe dhyan tak nahin 'KHawar'

    tera wo ishq yahi hai jise zawal na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now