bichhaD jaun main tujhse ya zara sa dur ho jaun
bichhaḌ jā.ūñ maiñ tujh se yā zarā sā duur ho jā.ūñ
yahī to chāhtā hai tū ki maiñ ranjūr ho jā.ūñ
duā hai ye rahūñ ġhālib maiñ apne nafs par yā-rab
chalūñ maiñ rāh-e-haq meñ aur tujhe manzūr ho jā.ūñ
batā de kyā karūñ jis se tirī nazroñ meñ chaḌh jā.ūñ
banūñ sonā tirī ḳhātir yā koh-e-nūr ho jā.ūñ
mujhe rāh-e-sadāqat meñ ḳhudā sābit qadam rakhnā
kabhī mauqa jo aa jaa.e to maiñ mansūr ho jā.ūñ
abhī tak kar ke baiThā huuñ maiñ zabt-e-ġham 'samar' lekin
na taḌpāo mujhe itnā kī maiñ majbūr ho jā.ūñ
bichhaD jaun main tujh se ya zara sa dur ho jaun
yahi to chahta hai tu ki main ranjur ho jaun
dua hai ye rahun ghaalib main apne nafs par ya-rab
chalun main rah-e-haq mein aur tujhe manzur ho jaun
bata de kya karun jis se teri nazron mein chaDh jaun
banun sona teri KHatir ya koh-e-nur ho jaun
mujhe rah-e-sadaqat mein KHuda sabit qadam rakhna
kabhi mauqa jo aa jae to main mansur ho jaun
abhi tak kar ke baiTha hun main zabt-e-gham 'samar' lekin
na taDpao mujhe itna ki main majbur ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.