Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaD kar mujhse koi ja raha hai

Jaleel Qidwai

bichhaD kar mujhse koi ja raha hai

Jaleel Qidwai

MORE BYJaleel Qidwai

    bichhaḌ kar mujh se koī rahā hai

    kaleja muñh ko jaise aa rahā hai

    laboñ par hai tabassum vaqt-e-ruḳhsat

    magar dil hai ki umḌā aa rahā hai

    vo āñchal sabr ke dāman ke mānind

    mire hāthoñ se chhūTā rahā hai

    ḳhafā the judā bhī ho rahe haiñ

    falak ye kyā qayāmat Dhā rahā hai

    judā yuuñ ho rahe haiñ mujh se jaise

    muqaddar merā bigḌā rahā hai

    'jalīl' ab is se baḌh kar daad kyā ho

    ġhazal terī koī ḳhud rahā hai

    bichhaD kar mujh se koi ja raha hai

    kaleja munh ko jaise aa raha hai

    labon par hai tabassum waqt-e-ruKHsat

    magar dil hai ki umDa aa raha hai

    wo aanchal sabr ke daman ke manind

    mere hathon se chhuTa ja raha hai

    KHafa the hi juda bhi ho rahe hain

    falak ye kya qayamat Dha raha hai

    juda yun ho rahe hain mujh se jaise

    muqaddar mera bigDa ja raha hai

    'jalil' ab is se baDh kar dad kya ho

    ghazal teri koi KHud ga raha hai

    Source:

    Nawa-e-Seena Taab (Pg. 54)

    • Author: Jaleel Qidwai
      • Publisher: Nazir Printing Press, Karachi
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now