Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi humne

Ehsan Danish

bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi humne

Ehsan Danish

MORE BYEhsan Danish

    bichhaḌ kar un se yuuñ ġham meñ guzārī zindagī ham ne

    sahar tārīk dekhī surḳh paa.ī chāñdnī ham ne

    hameñ da.avā nahīñ tanhā nibāhī dostī ham ne

    mohabbat ko sambhālā hai kabhī tum ne kabhī ham ne

    ḳhushī ġham meñ nazar aa.ī ḳhushī meñ ġham nazar aayā

    abhī duniyā pe Daalī thī nigāh-e-sarsarī ham ne

    baḌī bechārgī niklī bahut nārasī paa.ī

    azal ke roz baḌh kar le to thī bandagī ham ne

    jahāñ sāz-e-mohabbat par muġhannī nahīñ saktā

    vahāñ naġhma alāpā hai kabhī tum ne kabhī ham ne

    tumheñ hoge nigāh-e-shauq markaz tumhīñ hoge

    agar is zindagī ke ba.ad paa.ī zindagī ham ne

    hamāre sāmne har-vaqt anjām-e-shikāyat thī

    kahī ko an-kahī kar sunī ko an-sunī ham ne

    bharegī is meñ rañg 'ehsān' duniyā inqilāboñ se

    lahū se apne ik tasvīr aisī khīñch diiñ ham ne

    bichhaD kar un se yun gham mein guzari zindagi hum ne

    sahar tarik dekhi surKH pai chandni hum ne

    hamein dawa nahin tanha nibahi dosti hum ne

    mohabbat ko sambhaala hai kabhi tum ne kabhi hum ne

    KHushi gham mein nazar aai KHushi mein gham nazar aaya

    abhi duniya pe Dali thi nigah-e-sarsari hum ne

    baDi bechaargi nikli bahut hi narasi pai

    azal ke roz baDh kar le to li thi bandagi hum ne

    jahan saz-e-mohabbat par mughanni ga nahin sakta

    wahan naghma alapa hai kabhi tum ne kabhi hum ne

    tumhein hoge nigah-e-shauq ka markaz tumhin hoge

    agar is zindagi ke baad pai zindagi hum ne

    hamare samne har-waqt anjam-e-shikayat thi

    kahi ko an-kahi kar di suni ko an-suni hum ne

    bharegi is mein rang 'ehsan' duniya inqilabon se

    lahu se apne ek taswir aisi khinch din hum ne

    Source:

    Ghazaliyat-e-ahsaan Danish (Pg. 331)

    • Author: Shabnam Parveen
      • Edition: 2006
      • Publisher: Asghar Publishers
      • Year of Publication: 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now