bichhaḌ ke mujh se tumheñ koī ham-navā na mile
agar mile bhī to 'jānif' sā ḳhushnumā na mile
maiñ tum ko DhūñDhtā rahtā huuñ tum nahīñ milte
tumheñ bhī merā kahīñ koī naqsh-e-pā na mile
maiñ chāhtā huuñ ki chhup kar kare vo jo bhī kare
maiñ chāhtā huuñ vo logoñ se barmalā na mile
isī liye to maiñ tayyār rahtā huuñ har vaqt
baġhair peshgī notice ke yaar aa na mile
maiñ aañkh band karūñ aur us ke khulne par
vahāñ milūñ ki jahāñ koī pārsā na mile
mujhe bhulā ke use jaanā hai ḳhudā ke paas
ḳhudā kare ki ḳhudā kā use patā na mile
bichhaD ke mujh se tumhein koi ham-nawa na mile
agar mile bhi to 'jaanif' sa KHushnuma na mile
main tum ko DhunDhta rahta hun tum nahin milte
tumhein bhi mera kahin koi naqsh-e-pa na mile
main chahta hun ki chhup kar kare wo jo bhi kare
main chahta hun wo logon se barmala na mile
isi liye to main tayyar rahta hun har waqt
baghair peshgi notice ke yar aa na mile
main aankh band karun aur us ke khulne par
wahan milun ki jahan koi parsa na mile
mujhe bhula ke use jaana hai KHuda ke pas
KHuda kare ki KHuda ka use pata na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.