Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bichhaDna mujhse to KHwabon mein silsila rakhna

Farooq Bakshi

bichhaDna mujhse to KHwabon mein silsila rakhna

Farooq Bakshi

MORE BYFarooq Bakshi

    bichhaḌnā mujh se to ḳhvāboñ meñ silsila rakhnā

    dayār-e-zehn meñ dil diyā jalā rakhnā

    palaT ke ā.eñge mausam to tum ko likkhūñgā

    kitāb-e-dil varaq tum zarā khulā rakhnā

    maiñ chāhtā huuñ vo āñkheñ jo roz miltī haiñ

    kabhī to mujh se kahīñ ham pe aasrā rakhnā

    badan aag se jhulse na jism rūhoñ

    qarīb aa ke bhī tum mujh se fāsla rakhnā

    udaas lamhoñ ke mausam guzar jā.eñge

    kisī baat ab dil meñ kyā gila rakhnā

    jo chal paḌe ho mare saath taptī rāhoñ par

    kahīñ utaar ke phūloñ ye qabā rakhnā

    bichhaDna mujh se to KHwabon mein silsila rakhna

    dayar-e-zehn mein dil ka diya jala rakhna

    palaT ke aaenge mausam to tum ko likkhunga

    kitab-e-dil ka waraq tum zara khula rakhna

    main chahta hun wo aankhen jo roz milti hain

    kabhi to mujh se kahin hum pe aasra rakhna

    badan ki aag se jhulse na jism ruhon ka

    qarib aa ke bhi tum mujh se fasla rakhna

    udas lamhon ke mausam guzar hi jaenge

    kisi ki baat ka ab dil mein kya gila rakhna

    jo chal paDe ho mare sath tapti rahon par

    kahin utar ke phulon ki ye qaba rakhna

    Source:

    Udas Lamhon Ke Mausam (Poetry) (Pg. 87)

    • Author: Farooq Bakhshi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Modern Publishing House
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now