Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

Hafeez Jaunpuri

bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    bigaḌ jaate the sun kar yaad hai kuchh vo zamāna bhī

    koī kartā thā jab merī shikāyat ġhā.ebāna bhī

    vo jis par mehrbāñ hote haiñ duniyā us hotī hai

    nazar un palaTte palaTtā hai zamāna bhī

    sunā kartā huuñ ta.ane hijr meñ kyā kyā raqīboñ ke

    banā huuñ is mohabbat meñ malāmat nishāna bhī

    yahāñ bhī farz hai zāhid adab se sar jhukā lenā

    mire nazdīk ka.aba hai kisī āstāna bhī

    fareb-e-dām meñ laa.ī hai kuchh sayyād ḳhātir

    qafas meñ khīñch kar laayā hameñ kuchh āb-o-dāna bhī

    jalā kar dil mirā sayyād ThanDā kaleja kar

    kahīñ ai barq jaldī phūñk merā āshiyāna bhī

    bigaḌte der hotī hai na bante der hotī hai

    mizāj-e-yār se kuchh miltā-jultā hai zamāna bhī

    hasīñ paḌh kar ġhazal merī mire mushtāq hote haiñ

    musaḳhḳhar dil ko kartā hai kalām-e-āshiqāna bhī

    na bhūlegī hafīz ahbāb ko ye sarguzisht apnī

    jahāñ meñ yaad rah jā.egā kuchh apnā fasāna bhī

    bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

    koi karta tha jab meri shikayat ghaebana bhi

    wo jis par mehrban hote hain duniya us ki hoti hai

    nazar un ki palaTte hi palaTta hai zamana bhi

    suna karta hun tane hijr mein kya kya raqibon ke

    bana hun is mohabbat mein malamat ka nishana bhi

    yahan bhi farz hai zahid adab se sar jhuka lena

    mere nazdik kaba hai kisi ka aastana bhi

    fareb-e-dam mein lai hai kuchh sayyaad ki KHatir

    qafas mein khinch kar laya hamein kuchh aab-o-dana bhi

    jala kar dil mera sayyaad ka ThanDa kaleja kar

    kahin ai barq jaldi phunk mera aashiyana bhi

    bigaDte der hoti hai na bante der hoti hai

    mizaj-e-yar se kuchh milta-julta hai zamana bhi

    hasin paDh kar ghazal meri mere mushtaq hote hain

    musaKHKHar dil ko karta hai kalam-e-ashiqana bhi

    na bhulegi hafiz ahbab ko ye sarguzisht apni

    jahan mein yaad rah jaega kuchh apna fasana bhi

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-202 Page Number-185)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now