bigDe dil donon the aise ki banae na bane
bigḌe dil donoñ the aise ki banā.e na bane
ġhair apne na hue apne parā.e na bane
jazb-e-dil raah nikāl aisī ki us bad-ḳhū ko
ġhair roke bhī to ghar mere bin aa.e na bane
tum vo ziddī ki jo rūTho to manā.e na mano
dil vo kam-baḳht jo bigḌe to banā.e na bane
is naqāhat kā burā ho ki vo jab sāmne aa.eñ
aañkh uThā.e na uThe hoñT hilā.e na bane
dil ko 'sultāñ' ke mohabbat ne vo baḳhshā hai asar
ki jahannum bhī jo chāhe to jalā.e na bane
bigDe dil donon the aise ki banae na bane
ghair apne na hue apne parae na bane
jazb-e-dil rah nikal aisi ki us bad-KHu ko
ghair roke bhi to ghar mere bin aae na bane
tum wo ziddi ki jo ruTho to manae na mano
dil wo kam-baKHt jo bigDe to banae na bane
is naqahat ka bura ho ki wo jab samne aaen
aankh uThae na uThe honT hilae na bane
dil ko 'sultan' ke mohabbat ne wo baKHsha hai asar
ki jahannum bhi jo chahe to jalae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.