Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigDen wo humse ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai

Jigar Barelvi

bigDen wo humse ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai

Jigar Barelvi

MORE BYJigar Barelvi

    bigḌeñ vo ham se ki ham un se sab meñ ik lazzat hotī hai

    jiine meñ baḌā lutf aatā hai jab dil se mohabbat hotī hai

    ham kis se pūchheñ tum kaho kuchh kaam ye jiinā aayā bhī

    ham loTte haiñ añgāroñ par kuchh tum ko masarrat hotī hai

    dozaḳh ko yahī jannat kar de jannat ko yahī dozaḳh kar de

    ham tujh ko batā.eñ kyā hamdam kyā chiiz mohabbat hotī hai

    ham bāda-o-jām ke parde meñ kuchh rāz-e-junūñ kah jaate haiñ

    jab ishq nashsha chaḌhtā hai maḳhmūr tabī.at hotī hai

    ham marte haiñ jiite haiñ tum shaad raho ābād raho

    kyā tum se kaheñ kyā hotā hai jab hijr saa.at hotī hai

    ab is meñ hamārī kyā hai ḳhatā majbūr se haiñ lāchār se haiñ

    dil hai to mohabbat karte haiñ tum ho to mohabbat hotī hai

    parvarda-e-sāhil kyā jaane āsūda-e-manzil kyā samjhe

    jo duur haiñ sāhil-o-manzil se un kyā hālat hotī hai

    jab josh-e-masarrat hotā hai ham aap se kho.e jaate haiñ

    hastī meñ bharam aa jaatā hai jab ġham shiddat hotī hai

    maiñ husn ek pujārī huuñ hai shā.irī husn ik devī

    jo fikr-e-suḳhan bhī hotī hai ham-rañg-e-ibādat hotī hai

    bigDen wo hum se ki hum un se sab mein ek lazzat hoti hai

    jine mein baDa lutf aata hai jab dil se mohabbat hoti hai

    hum kis se puchhen tum hi kaho kuchh kaam ye jina aaya bhi

    hum loTte hain angaron par kuchh tum ko masarrat hoti hai

    dozaKH ko yahi jannat kar de jannat ko yahi dozaKH kar de

    hum tujh ko bataen kya hamdam kya chiz mohabbat hoti hai

    hum baada-o-jam ke parde mein kuchh raaz-e-junun kah jate hain

    jab ishq ka nashsha chaDhta hai maKHmur tabiat hoti hai

    hum marte hain ya jite hain tum shad raho aabaad raho

    kya tum se kahen kya hota hai jab hijr ki saat hoti hai

    ab is mein hamari kya hai KHata majbur se hain lachaar se hain

    dil hai to mohabbat karte hain tum ho to mohabbat hoti hai

    parwarda-e-sahil kya jaane aasuda-e-manzil kya samjhe

    jo dur hain sahil-o-manzil se un ki kya haalat hoti hai

    jab josh-e-masarrat hota hai hum aap se khoe jate hain

    hasti mein bharam aa jata hai jab gham ki shiddat hoti hai

    main husn ka ek pujari hun hai shairi husn ki ek dewi

    jo fikr-e-suKHan bhi hoti hai ham-rang-e-ibaadat hoti hai

    Source:

    Partav-e-ilhaam (Pg. 165)

    • Author: Jigar Barelvi
      • Edition: 2012
      • Publisher: Publisher Nizami Book Agency, Budaun
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now