Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki

Ahsan Aazmi

bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki

Ahsan Aazmi

MORE BYAhsan Aazmi

    bigḌī huī jab hotī hai taqdīr kisī

    kaam aatī nahīñ aise meñ tadbīr kisī

    dil jiit liye apnoñ ke begānoñ ke pal meñ

    guftār meñ aisī bhī hai tāsīr kisī

    ye fāteh-e-aqlīm to ho saktī hai lekin

    dil jiit na paa.ī kabhī shamshīr kisī

    tahzīb-o-tamaddun chalan uTh gayā shāyad

    kartā hai kahāñ ab koī tauqīr kisī

    allāh re ye adl ye mīzān-e-adālat

    paatā hai sazā koī hai taqsīr kisī

    so.e haiñ abhī ahl-e-junūñ qaid-e-qafas meñ

    pairoñ meñ khanaktī nahīñ zanjīr kisī

    har lab pe faqat amn bāteñ hoñ ḳhudāyā

    ho vajh-e-fasādāt na taqrīr kisī

    ye husn e.ajāz hai nashsha-e-mai hai

    sāġhar meñ utar aa.ī hai tasvīr kisī

    shohrat tamanna hai to kar jehd-e-musalsal

    'ahsan' yūñhī hotī nahīñ tash.hīr kisī

    bigDi hui jab hoti hai taqdir kisi ki

    kaam aati nahin aise mein tadbir kisi ki

    dil jit liye apnon ke beganon ke pal mein

    guftar mein aisi bhi hai tasir kisi ki

    ye fateh-e-aqlim to ho sakti hai lekin

    dil jit na pai kabhi shamshir kisi ki

    tahzib-o-tamaddun ka chalan uTh gaya shayad

    karta hai kahan ab koi tauqir kisi ki

    allah re ye adl ye mizan-e-adalat

    pata hai saza koi hai taqsir kisi ki

    soe hain abhi ahl-e-junun qaid-e-qafas mein

    pairon mein khanakti nahin zanjir kisi ki

    har lab pe faqat amn ki baaten hon KHudaya

    ho wajh-e-fasadat na taqrir kisi ki

    ye husn ka eajaz hai ya nashsha-e-mai hai

    saghar mein utar aai hai taswir kisi ki

    shohrat ki tamanna hai to kar jehd-e-musalsal

    'ahsan' yunhi hoti nahin tashhir kisi ki

    Source:

    (Pg. 60)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now