bich bazar khaDa hun kab se
biich bāzār khaḌā huuñ kab se
jaane kyā soch rahā huuñ kab se
is qadar bhiiḌ hai mere andar
rāsta maañg rahā huuñ kab se
jaane kyā hai jo nazar aatā nahīñ
āsmāñ dekh rahā huuñ kab se
ab mujhe yaad kahāñ rahtā hai
maiñ tujhe bhuul gayā huuñ kab se
koī ummīd na koī halchal
apne kamre meñ paḌā huuñ kab se
bich bazar khaDa hun kab se
jaane kya soch raha hun kab se
is qadar bhiD hai mere andar
rasta mang raha hun kab se
jaane kya hai jo nazar aata nahin
aasman dekh raha hun kab se
ab mujhe yaad kahan rahta hai
main tujhe bhul gaya hun kab se
koi ummid na koi halchal
apne kamre mein paDa hun kab se
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 94)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.