Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai

Barqi Azmi

bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    bīmār-e-mohabbat davā aur kuchh hai

    kuchh aur samjhe the huā aur kuchh hai

    'āzād' tahrīr andāz alag hai

    'iqbāl' ke naġhmoñ navā aur kuchh hai

    is ahd meñ har-samt hai ik ālam-e-mahshar

    hai dil meñ jo ik hashr bapā aur kuchh hai

    be-sūd qafas meñ hai har āsā.ish-e-duniyā

    parvāz ko āzād fazā aur kuchh hai

    jazbāt meñ iḳhlās se baḌh kar nahīñ kuchh bhī

    be-laus mohabbat mazā aur kuchh hai

    fan-pāre meñ hai pās-e-rivāyat bhī zarūrī

    tahrīr uslūb nayā aur kuchh hai

    hai karb ehsās jo jiine nahīñ detā

    nā-karda gunāhī sazā aur kuchh hai

    zāhid riyā-kār ibādat se hai afzal

    allāh ke bandoñ bhalā aur kuchh hai

    sīrat meñ hai jo husn vo sūrat meñ nahīñ hai

    pākīzgī-o-sharm-o-hayā aur kuchh hai

    be-maut bhī marne pe vo kar detā hai majbūr

    nazroñ meñ hai jo tez qazā aur kuchh hai

    mahdūd hai shāhoñ gadāoñ pe navāzish

    bandoñ pe ye in.ām-e-ḳhudā aur kuchh hai

    yuuñ to haiñ mashāhīr-e-suḳhan shohra-e-āfāq

    'barqī' alag tarz-e-adā aur kuchh hai

    bimar-e-mohabbat ki dawa aur hi kuchh hai

    kuchh aur hi samjhe the hua aur hi kuchh hai

    'azad' ki tahrir ka andaz alag hai

    'iqbaal' ke naghmon ki nawa aur hi kuchh hai

    is ahd mein har-samt hai ek aalam-e-mahshar

    hai dil mein jo ek hashr bapa aur hi kuchh hai

    be-sud qafas mein hai har aasaish-e-duniya

    parwaz ko aazad faza aur hi kuchh hai

    jazbaat mein iKHlas se baDh kar nahin kuchh bhi

    be-laus mohabbat ka maza aur hi kuchh hai

    fan-pare mein hai pas-e-riwayat bhi zaruri

    tahrir ka uslub naya aur hi kuchh hai

    hai karb ka ehsas jo jine nahin deta

    na-karda gunahi ki saza aur hi kuchh hai

    zahid ki riya-kar ibaadat se hai afzal

    allah ke bandon ka bhala aur hi kuchh hai

    sirat mein hai jo husn wo surat mein nahin hai

    pakizgi-o-sharm-o-haya aur hi kuchh hai

    be-maut bhi marne pe wo kar deta hai majbur

    nazron mein hai jo tez qaza aur hi kuchh hai

    mahdud hai shahon ki gadaon pe nawazish

    bandon pe ye inam-e-KHuda aur hi kuchh hai

    yun to hain mashahir-e-suKHan shohra-e-afaq

    'barqi' ki alag tarz-e-ada aur hi kuchh hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now