Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai

Mohammad Salim

bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai

Mohammad Salim

MORE BYMohammad Salim

    biit gayā hai pyaar mausam ghar ghar sahrā jaisā hai

    dil ke darvāze par ab to ḳhāmoshī pahrā hai

    saat samundar paar jo aa kar dasht-e-fazā ko dekhā hai

    ret manzar āñkhoñ meñ hai dil meñ ḳhauf dariyā hai

    us kashtī Duub ga.ī thī biich bhañvar meñ aa ke magar

    kis mushkil se jaan bachā kar sāhil tak vo aayā hai

    zulmat rāhoñ meñ ham bhī gum ho kar rah jaate magar

    nuur paikar saath hamāre aage aage chaltā hai

    bhuul gayā huuñ sab kuchh 'sālim' mujh ko kuchh bhī yaad nahīñ

    yādoñ ke ā.īne meñ ab ik ik chehra dhundlā hai

    bit gaya hai pyar ka mausam ghar ghar sahra jaisa hai

    dil ke darwaze par ab to KHamoshi ka pahra hai

    sat samundar par jo aa kar dasht-e-faza ko dekha hai

    ret ka manzar aankhon mein hai dil mein KHauf ka dariya hai

    us ki kashti Dub gai thi bich bhanwar mein aa ke magar

    kis mushkil se jaan bacha kar sahil tak wo aaya hai

    zulmat ki rahon mein hum bhi gum ho kar rah jate magar

    nur ka paikar sath hamare aage aage chalta hai

    bhul gaya hun sab kuchh 'salim' mujh ko kuchh bhi yaad nahin

    yaadon ke aaine mein ab ek ek chehra dhundla hai

    Source:

    Aiwan (Pg. 94)

    • Author: Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
      • Edition: 1998
      • Publisher: Nirali Duniya
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now