Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bite lamhon ki KHushbuen zaKHmon ki saughat mili

Badr Shamsi

bite lamhon ki KHushbuen zaKHmon ki saughat mili

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    biite lamhoñ ḳhushbūeñ zaḳhmoñ sauġhāt milī

    tanhā.ī ke sūne-pan meñ yādoñ bārāt milī

    itne patthar barsā.e haiñ phuul se nāzuk hoñToñ ne

    zaḳhmoñ ke ik Dher ke nīche kuchlī apnī zaat milī

    TuuTe haiñ har ek qadam par bikhre haiñ har moḌ pe ham

    sang-diloñ ke shahr meñ ham ko shīshe auqāt milī

    dil ke lahū ne aañsū ban kar ġham ko suhānā-pan baḳhshā

    jalte sahrā meñ bhī ham ko rangoñ barsāt milī

    hañs hañs ke har zor-e-sitam ko ham ne dil par rok liyā

    is shīshe se jo Takrāyā us patthar ko maat milī

    yādoñ ban-bās likhā thā apne raam qismat meñ

    ham ko bharī ābādī meñ bhī tanhā apnī zaat milī

    apne dil ko aur jalā kar ham ne ujālā phailāyā

    jis manzil par jis raste meñ 'badr' jahāñ tak raat malī

    bite lamhon ki KHushbuen zaKHmon ki saughat mili

    tanhai ke sune-pan mein yaadon ki baraat mili

    itne patthar barsae hain phul se nazuk honTon ne

    zaKHmon ke ek Dher ke niche kuchli apni zat mili

    TuTe hain har ek qadam par bikhre hain har moD pe hum

    sang-dilon ke shahr mein hum ko shishe ki auqat mili

    dil ke lahu ne aansu ban kar gham ko suhana-pan baKHsha

    jalte sahra mein bhi hum ko rangon ki barsat mili

    hans hans ke har zor-e-sitam ko hum ne dil par rok liya

    is shishe se jo Takraya us patthar ko mat mili

    yaadon ka ban-bas likha tha apne ram ki qismat mein

    hum ko bhari aabaadi mein bhi tanha apni zat mili

    apne dil ko aur jala kar hum ne ujala phailaya

    jis manzil par jis raste mein 'badr' jahan tak raat mali

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 30)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now