Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya

Praveen Saxena

bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya

Praveen Saxena

MORE BYPraveen Saxena

    bikhar ke aise vaqt ke maiñ zalzale meñ rah gayā

    ki lamha lamha ḳhud ko bas sameTne meñ rah gayā

    Thahar ke jaane kyā safar meñ sochne meñ rah gayā

    chalā to apne saath thā maiñ rāste meñ rah gayā

    vo sach shakl meñ bharam de rahā thā ik gumāñ

    ajiib ḳhayāl thā jo hāfize meñ rah gayā

    jo meñ aaya zindagī vo bāteñ mujh se kah ga.ī

    idhar maiñ soch soch kar bolne meñ rah gayā

    ik ajnabī se roz milnā ho rahā hai in dinoñ

    na jaane kis chehra mere aa.ine meñ rah gayā

    mujhī meñ thī zindagī to kyoñ kahā nahīñ mujhe

    kahāñ kahāñ maiñ tujh ko dekh DhūñDne meñ rah gayā

    kabhī to is ko ek lamha ke dekhtā koī

    zamānā zindagī faqat guzārne meñ rah gayā

    usī justujū meñ to lagā hai aadmī magar

    sukūñ use milā jo ḳhud se rābte meñ rah gayā

    sadā.eñ ḳhud ko laakh diiñ magar kahīñ milā nahīñ

    pata chalā ki maiñ to ḳhud ko bāñTne meñ rah gayā

    bikhar ke aise waqt ke main zalzale mein rah gaya

    ki lamha lamha KHud ko bas sameTne mein rah gaya

    Thahar ke jaane kya safar mein sochne mein rah gaya

    chala to apne sath tha main raste mein rah gaya

    wo sach ki shakl mein bharam ka de raha tha ek guman

    ajib sa KHayal tha jo hafize mein rah gaya

    jo ji mein aaya zindagi wo baaten mujh se kah gai

    idhar main soch soch kar hi bolne mein rah gaya

    ek ajnabi se roz milna ho raha hai in dinon

    na jaane kis ka chehra mere aaine mein rah gaya

    mujhi mein thi tu zindagi to kyon kaha nahin mujhe

    kahan kahan main tujh ko dekh DhunDne mein rah gaya

    kabhi to is ko ek lamha ji ke dekhta koi

    zamana zindagi faqat guzarne mein rah gaya

    usi ki justuju mein to laga hai aadmi magar

    sukun use mila jo KHud se rabte mein rah gaya

    sadaen KHud ko lakh din magar kahin mila nahin

    pata chala ki main to KHud ko banTne mein rah gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now