Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bin teri did ke kis tarah guzara hoga

Shabbir Nazish

bin teri did ke kis tarah guzara hoga

Shabbir Nazish

MORE BYShabbir Nazish

    bin tirī diid ke kis tarah guzāra hogā

    na hogā to mujhe kis sahārā hogā

    aa gale mil ke abhī hijr mātam kar leñ

    kis ko ma.alūm kahāñ mel dobāra hogā

    tirī diid ḳhvāhish ne chamak baḳhshī hai

    rah-e-ḳhāk ne chehre ko nikhārā hogā

    aaj kis muñh se gila karte ho luT jaane

    maiñ na kahtā thā mohabbat meñ ḳhasāra hogā

    har na.e saal yahāñ baañs na.e ugte haiñ

    is jagah dafn koī dard maarā hogā

    zindagī ijz ke lamhoñ meñ guzāro apnī

    vaqt ke shaah banoge to ḳhasāra hogā

    bin teri did ke kis tarah guzara hoga

    tu na hoga to mujhe kis ka sahaara hoga

    aa gale mil ke abhi hijr ka matam kar len

    kis ko malum kahan mel dobara hoga

    ya teri did ki KHwahish ne chamak baKHshi hai

    ya rah-e-KHak ne chehre ko nikhaara hoga

    aaj kis munh se gila karte ho luT jaane ka

    main na kahta tha mohabbat mein KHasara hoga

    har nae sal yahan bans nae ugte hain

    is jagah dafn koi dard ka mara hoga

    zindagi ijz ke lamhon mein guzaro apni

    waqt ke shah banoge to KHasara hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now