Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf

Asad Ali Khan Qalaq

bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    bolegā kaun āshiq-e-nādār taraf

    saarā zamāna aaj to hai yaar taraf

    jin aañkh se liyā thā dil ab vo rahī na aañkh

    hairat se dekhtā huuñ ruḳh-e-yār taraf

    darbāñ kabhī jo roke vo nāzuk mizāj haiñ

    muñh kar ke so.eñ ham na dar-e-yār taraf

    haare hue ho bosoñ kar lo abhī hisāb

    fāzil hai kuchh hamārā sarkār taraf

    baiThā hai kab se muntazir yaañ par nigāh-e-mehr

    dekh aañkh uThā ke tālib-e-dīdār taraf

    paḌtī hai jabki abrū-e-qātil pe merī aañkh

    rah rah ke dekhtā hai vo talvār taraf

    dāġh-e-riyā sharāb se dhone ke vāste

    zāhid chalā hai ḳhāna-e-ḳhummār taraf

    bulbul ne bahār meñ kis yaas se ik aah

    chāk-e-qafas se dekh ke gulzār taraf

    paḌhtā huuñ fātiha maiñ sū-e-qabr-e-kohkan

    hotā hai jab guzar kabhī kohsār taraf

    yuuñ dil pe mere paḌtī hai aañkh us jis tarah

    jallād dekhtā hai gunahgār taraf

    kartā hai shauq-e-dil ke evaz mol husn

    dallāl boltā hai ḳharīdār taraf

    ā.īna saañ huuñ āmad-e-dilbar hairatī

    ruḳh sū-e-dar hai pusht hai dīvār taraf

    phūloñ meñ ye kahāñ ḳhalish-e-ḳhār mazā

    jaanā junūñ na dasht se gulzār taraf

    barbād kar na ḳhaak mirī ai havā-e-shauq

    le chal uḌā ke kūcha-e-dil-dār taraf

    kaun ab kare hamārī taraf-dārī ai 'qalaq'

    dil tak hai apnā apne dil-āzār taraf

    bolega kaun aashiq-e-nadar ki taraf

    sara zamana aaj to hai yar ki taraf

    jin aankh se liya tha dil ab wo rahi na aankh

    hairat se dekhta hun ruKH-e-yar ki taraf

    darban kabhi jo roke wo nazuk mizaj hain

    munh kar ke soen hum na dar-e-yar ki taraf

    haare hue ho boson ka kar lo abhi hisab

    fazil hai kuchh hamara hi sarkar ki taraf

    baiTha hai kab se muntazir yan par nigah-e-mehr

    dekh aankh uTha ke talib-e-didar ki taraf

    paDti hai jabki abru-e-qatil pe meri aankh

    rah rah ke dekhta hai wo talwar ki taraf

    dagh-e-riya sharab se dhone ke waste

    zahid chala hai KHana-e-KHummar ki taraf

    bulbul ne ki bahaar mein kis yas se ek aah

    chaak-e-qafas se dekh ke gulzar ki taraf

    paDhta hun fatiha main su-e-qabr-e-kohkan

    hota hai jab guzar kabhi kohsar ki taraf

    yun dil pe mere paDti hai aankh us ki jis tarah

    jallad dekhta hai gunahgar ki taraf

    karta hai shauq-e-dil ke ewaz mol husn ka

    dallal bolta hai KHaridar ki taraf

    aaina san hun aamad-e-dilbar ka hairati

    ruKH su-e-dar hai pusht hai diwar ki taraf

    phulon mein ye kahan KHalish-e-KHar ka maza

    jaana junun na dasht se gulzar ki taraf

    barbaad kar na KHak meri ai hawa-e-shauq

    le chal uDa ke kucha-e-dil-dar ki taraf

    kaun ab kare hamari taraf-dari ai 'qalaq'

    dil tak hai apna apne dil-azar ki taraf

    Source:

    Mazhar-e-Ishq (Pg. e-95 p-93)

    • Author: Asad Ali Khan Qalaq
      • Edition: 1911
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now