Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bolne ki bhi yahan qimat chukai ja rahi hai

Tk Singh Kashif

bolne ki bhi yahan qimat chukai ja rahi hai

Tk Singh Kashif

MORE BYTk Singh Kashif

    bolne bhī yahāñ qīmat chukā.ī rahī hai

    din dahāḌe sach ab gardan dabā.ī rahī hai

    haiñ pareshāñ is ḳhabar se ye siyāsat karne vaale

    mulk meñ dīvār nafrat girā.ī rahī hai

    ik taraf logoñ se sach kahne ko bolā rahā hai

    ik taraf kuchh jhūToñ mahfil sajā.ī rahī hai

    shāhoñ ko chhup chhup ke bedardī se luuTā rahā hai

    tāj-poshī choroñ khul kar karā.ī rahī hai

    kyoñ milī hai zindagī ham ko vahāñ 'kāshif' jahāñ par

    saañs le kar rasm marne nibhā.ī rahī hai

    bolne ki bhi yahan qimat chukai ja rahi hai

    din dahaDe sach ki ab gardan dabai ja rahi hai

    hain pareshan is KHabar se ye siyasat karne wale

    mulk mein diwar nafrat ki girai ja rahi hai

    ek taraf logon se sach kahne ko bola ja raha hai

    ek taraf kuchh jhuTon ki mahfil sajai ja rahi hai

    shahon ko chhup chhup ke bedardi se luTa ja raha hai

    taj-poshi choron ki khul kar karai ja rahi hai

    kyon mili hai zindagi hum ko wahan 'kashif' jahan par

    sans le kar rasm marne ki nibhai ja rahi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now