bosida raston ke musafir badal gae
bosīda rāstoñ ke musāfir badal ga.e
ab to purāne log bhī āḳhir badal ga.e
fannī nazākatoñ kā zamāna guzar gayā
jo apne fan meñ log the māhir badal ga.e
sab apne hī vujūd meñ gum ho ke rah ga.e
hālāt-e-zindagī ke manāzir badal ga.e
pahchān meñ na aa.e qayāfa se koī shaḳhs
ab aadmī ke bātin-o-zāhir badal ga.e
'sajjād' gulsitān ke bulbul hue farār
aisī havā chalī hai ki shā'ir badal ga.e
bosida raston ke musafir badal gae
ab to purane log bhi aaKHir badal gae
fanni nazakaton ka zamana guzar gaya
jo apne fan mein log the mahir badal gae
sab apne hi wujud mein gum ho ke rah gae
haalat-e-zindagi ke manazir badal gae
pahchan mein na aae qayafa se koi shaKHs
ab aadmi ke baatin-o-zahir badal gae
'sajjad' gulsitan ke bulbul hue farar
aisi hawa chali hai ki sha'ir badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.