aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna

Abdul Ahad Saaz

bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    bujh ga.ī aag to kamre meñ dhuāñ rakhnā

    dil meñ ik gosha-e-ehsās-e-ziyāñ rakhnā

    phir isī rah se milegī na.e iblāġh ko samt

    sher ko dard uslūb-e-bayāñ rakhnā

    aah manzar ko ye barfātī huī be-safarī

    saath pighle hue rastoñ ke nishāñ rakhnā

    kah na saknā bhī bahut kuchh hai riyāzat ho agar

    zaḳhm hoñToñ ke sar-e-ijz-e-bayāñ rakhnā

    jaise vo sāneha lamha bhī zamāna bhī hai 'sāz'

    yaad us shaḳhs ke jaane samāñ rakhnā

    bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna

    dil mein ek gosha-e-ehsas-e-ziyan hi rakhna

    phir isi rah se milegi nae iblagh ko samt

    sher ko dard ka uslub-e-bayan hi rakhna

    aah manzar ko ye barfati hui be-safari

    sath pighle hue raston ke nishan hi rakhna

    kah na sakna bhi bahut kuchh hai riyazat ho agar

    zaKHm honTon ke sar-e-ijz-e-bayan hi rakhna

    jaise wo saneha lamha bhi zamana bhi hai 'saz'

    yaad us shaKHs ke jaane ka saman hi rakhna

    Source:

    sargoshiyan zamanon ki (Pg. 137)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now