Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhe diye ko bhi jhuk kar salam karta hun

Irfan Sadiq

bujhe diye ko bhi jhuk kar salam karta hun

Irfan Sadiq

MORE BYIrfan Sadiq

    bujhe diye ko bhī jhuk kar salām kartā huuñ

    maiñ raushnī baḌā ehtirām kartā huuñ

    kabhī kabhī to mirī ḳhāmushī sulagtī hai

    kabhī kabhī to maiñ ḳhud se kalām kartā huuñ

    darūd paḌhtā huuñ din bhar kisī furqat meñ

    kisī aañkh meñ shab bhar qiyām kartā huuñ

    shab-e-firāq itnī bhī muzmahil kyoñ hai

    tujhe qubūl ba-sad-ehtirām kartā huuñ

    zarūrī baat to ye hai ki zarūrī hai

    isī pe guftugū saarī tamām kartā huuñ

    kisī charāġh ko kartā huuñ aañkh meñ raushan

    kisī ḳhayāl lau se kalām kartā huuñ

    use to fikr zarā bhī nahīñ rahī merī

    maiñ jis ke zo'm meñ nīñdeñ harām kartā huuñ

    yahī ḳharābī hai 'irfān' merī fitrat meñ

    vafā ke saare havāloñ ko aam kartā ho

    bujhe diye ko bhi jhuk kar salam karta hun

    main raushni ka baDa ehtiram karta hun

    kabhi kabhi to meri KHamushi sulagti hai

    kabhi kabhi to main KHud se kalam karta hun

    darud paDhta hun din bhar kisi ki furqat mein

    kisi ki aankh mein shab bhar qiyam karta hun

    shab-e-firaq tu itni bhi muzmahil kyon hai

    tujhe qubul ba-sad-ehtiram karta hun

    zaruri baat to ye hai ki tu zaruri hai

    isi pe guftugu sari tamam karta hun

    kisi charagh ko karta hun aankh mein raushan

    kisi KHayal ki lau se kalam karta hun

    use to fikr zara bhi nahin rahi meri

    main jis ke zo'm mein ninden haram karta hun

    yahi KHarabi hai 'irfan' meri fitrat mein

    wafa ke sare hawalon ko aam karta ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now