aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan

Baqar Mehdi

bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan

Baqar Mehdi

MORE BYBaqar Mehdi

    bujhī bujhī hai sadā-e-naġhma kahīñ kahīñ haiñ rabāb raushan

    Thahar Thahar ke gire haiñ aañsū bikhar bikhar ke haiñ ḳhvāb raushan

    savāl mab.hūt se khaḌe haiñ ki jaise sīnoñ meñ dil nahīñ haiñ

    ufuq ke us paar ke dekho shikasta muztar javāb raushan

    vo bekasī hai ki al-atash sadā.eñ ḳhāmosh ho ga.ī haiñ

    kahāñ hai koī husain yaaro ki har taraf hai sarāb raushan

    ajiib ġhamnāk haiñ havā.eñ lahū lahū hai fazā-e-gañgā

    taḌaptī maujeñ shikasta kashtī bujhe diye aur habāb raushan

    ġhulām gardish meñ hai añdherā hai dam-ba-ḳhud surḳh saverā

    kafan pahan kar nikal chuke haiñ ġharīb 'bāqar' navāb-raushan

    bujhi bujhi hai sada-e-naghma kahin kahin hain rabab raushan

    Thahar Thahar ke gire hain aansu bikhar bikhar ke hain KHwab raushan

    sawal mabhut se khaDe hain ki jaise sinon mein dil nahin hain

    ufuq ke us par ja ke dekho shikasta muztar jawab raushan

    wo bekasi hai ki al-atash ki sadaen KHamosh ho gai hain

    kahan hai koi husain yaro ki har taraf hai sarab raushan

    ajib ghamnak hain hawaen lahu lahu hai faza-e-ganga

    taDapti maujen shikasta kashti bujhe diye aur habab raushan

    ghulam gardish mein hai andhera hai dam-ba-KHud surKH sa sawera

    kafan pahan kar nikal chuke hain gharib 'baqar' nawab-raushan

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 355)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now