Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri

Jagjeewan Lal Asthana sahar

bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri

Jagjeewan Lal Asthana sahar

MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar

    bujhī bujhī hai āñkhoñ raushnī merī

    vo kyā ga.e ki ga.ī saath zindagī merī

    tirī ḳhushī se to baḌh kar nahīñ ḳhushī merī

    tirī ḳhushī pe sadqe hai zindagī merī

    banā rahā thā maiñ tasvīr ġham ke māroñ

    ye kyā huā ki vo tasvīr ban ga.ī merī

    zamāna kitnā hai mānūs merī hālat se

    badal badal ke kahānī likhī ga.ī merī

    vo kyā nibhā.eñge ab ḳhaak dard rishta

    unheñ to lagtī hai sūrat bhī ajnabī merī

    sabhī the Duube hue apne jām-o-sāġhar meñ

    koī to dekhtā āñkhoñ tishnagī merī

    ḳhayāl aap aaya to bhar ga.iiñ āñkheñ

    hayāt kitnī hai hassās aaj bhī merī

    abhī se aa.ina kyoñ rakh diyā mire aage

    abhī to vaqt ne dekhī nahīñ chhabī merī

    maiñ dekhtā rahā āñkhoñ se apnī barbādī

    kisī ne luuT duniyā se har ḳhushī merī

    chalo ḳhayāl to aaya unheñ kabhī merā

    ye aur baat ki hasrat nikal ga.ī merī

    maiñ is fareb meñ jiitā rahā 'sahar' ab tak

    ki un ke vāste sab kuchh hai zindagī merī

    bujhi bujhi si hai aankhon ki raushni meri

    wo kya gae ki gai sath zindagi meri

    teri KHushi se to baDh kar nahin KHushi meri

    teri KHushi hi pe sadqe hai zindagi meri

    bana raha tha main taswir gham ke maron ki

    ye kya hua ki wo taswir ban gai meri

    zamana kitna hai manus meri haalat se

    badal badal ke kahani likhi gai meri

    wo kya nibhaenge ab KHak dard ka rishta

    unhen to lagti hai surat bhi ajnabi meri

    sabhi the Dube hue apne jam-o-saghar mein

    koi to dekhta aankhon ki tishnagi meri

    KHayal aap ka aaya to bhar gain aankhen

    hayat kitni hai hassas aaj bhi meri

    abhi se aaina kyon rakh diya mere aage

    abhi to waqt ne dekhi nahin chhabi meri

    main dekhta raha aankhon se apni barbaadi

    kisi ne luT li duniya se har KHushi meri

    chalo KHayal to aaya unhen kabhi mera

    ye aur baat ki hasrat nikal gai meri

    main is fareb mein jita raha 'sahar' ab tak

    ki un ke waste sab kuchh hai zindagi meri

    Source:

    Sahar Ke Phool (Pg. 177)

    • Author: Jagjeewan Lal Asthana sahar
      • Publisher: Ejaz Printing Press, Hyderabad
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now