Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi

Sufi Tabassum

bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi

Sufi Tabassum

MORE BYSufi Tabassum

    bujhī bujhī sitāroñ raushnī hai abhī

    ye raat kis ke ishāroñ ko DhūñDhtī hai abhī

    na jaane merī nazar nahīñ hai jalva-shanās

    na jaane tere jalvoñ meñ kuchh kamī hai abhī

    kuchh aise gūñjtī hai dil meñ ahd-e-rafta yaad

    ki jaise ne koī baat mujh se hai abhī

    kisī ke husn se khelī haiñ umr bhar āñkheñ

    ye lag rahā hai nazar se nazar milī hai abhī

    hazār qāfile manzil pe ke lauT aa.e

    mirī nigāh tirī raah DhūñDhtī hai abhī

    sambhal to jaa.e tabī.at magar sitam ye hai

    ki is ke ba.ad bhī ik aur zindagī hai abhī

    bujhi bujhi si sitaron ki raushni hai abhi

    ye raat kis ke ishaaron ko DhunDhti hai abhi

    na jaane meri nazar hi nahin hai jalwa-shanas

    na jaane tere hi jalwon mein kuchh kami hai abhi

    kuchh aise gunjti hai dil mein ahd-e-rafta ki yaad

    ki jaise tu ne koi baat mujh se ki hai abhi

    kisi ke husn se kheli hain umr bhar aankhen

    ye lag raha hai nazar se nazar mili hai abhi

    hazar qafile manzil pe ja ke lauT aae

    meri nigah teri rah DhunDhti hai abhi

    sambhal to jae tabiat magar sitam ye hai

    ki is ke baad bhi ek aur zindagi hai abhi

    Source:

    (Sau Baar Chaman Mahka)Kulliyat-e- Sufi Tabassum (Pg. 183)

    • Author: Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
      • Edition: 2008
      • Publisher: Alhamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now