Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki

Nooh Narvi

bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    bulbul uḌāyā dil nāhaq ye ḳhām-ḳhayālī phūloñ

    letī hai talāshī bād-e-sabā ab Daalī Daalī phūloñ

    ye husn-o-latāfat ye ḳhushbū ye rañg-e-fazā ye josh-e-numū

    aalam hai anokhā kaliyoñ duniyā hai nirālī phūloñ

    misl-e-bulbul nik.hat se chhuTe dam bhar ko chaman mumkin nahīñ

    hotī hai tasadduq phūloñ par ḳhud rahne vaalī phūloñ

    maanā ki luTā.e rātoñ ko gulzār meñ motī shabnam ne

    jab sub.h huī sūraj niklā to jeb thī ḳhālī phūloñ

    gulchīñ bhī nazreñ uThtī haiñ sarsar ke bhī jhoñke aate haiñ

    ho aise meñ kis se kyuuñ kar kab tak ye rakhvālī phūloñ

    aatī hai ḳhizāñ ab ruḳhsat kar zinda jo rahe phir ā.eñge

    ham se to na dekhī jā.egī maalī pāmālī phūloñ

    har barg-e-shajar par ḳhush ho kar gulshan meñ nichhāvar karne ko

    nik.hat ḳhazāna khol diyā himmat hai ye aalī phūloñ

    phir rut badlī phir abr uThā phir sard havā.eñ chalne lagīñ

    ho jaa.e parī ban jaa.e dulhan ab Daalī Daalī phūloñ

    hāroñ meñ guñdhe jakḌe bhī ga.e gulshan bhī chhuTā siina bhī chhiddā

    pahuñche magar un gardan tak ye ḳhush-iqbālī phūloñ

    sayyād ke ghar se gulshan tak allāh kabhī pahuñchā.e mujhe

    ummīd nahīñ maiñ ḳhush ho kar dekhūñ ḳhush-hālī phūloñ

    gul-gasht meñ bhī chalte phirte kaam us ne kiyā ayyārī

    iḳhlās baḌhā kar phūloñ se har baat uḌā phūloñ

    māshūqoñ ke dahne baa.eñ to ushshāq majma.a rahtā hai

    dekhī na anādil se ham ne mahfil kabhī ḳhālī phūloñ

    ham apne dil meñ dāġhoñ ko yuuñ dekhte haiñ yuuñ dekhte haiñ

    kartā hai nigahbānī jaise gulzār meñ maalī phūloñ

    jo lutf kabhī hāsil thā hameñ vo lutf chaman ke saath gayā

    ab kunj-e-qafas meñ khīñchte haiñ tasvīr-e-ḳhyālī phūloñ

    shabnam ke bhī qatre gulshan meñ bad-mast kiye dete haiñ mujhe

    labrez mai-e-ishrat se huī ek ek pyālī phūloñ

    har misra-e-tar se hai paidā gul-hā-e-mazāmīñ jalva

    ai 'nūh' kahūñ maiñ is ko ġhazal samjhūñ Daalī phūloñ

    bulbul ka uDaya dil nahaq ye KHam-KHayali phulon ki

    leti hai talashi baad-e-saba ab Dali Dali phulon ki

    ye husn-o-latafat ye KHushbu ye rang-e-faza ye josh-e-numu

    aalam hai anokha kaliyon ka duniya hai nirali phulon ki

    misl-e-bulbul nikhat se chhuTe dam bhar ko chaman mumkin hi nahin

    hoti hai tasadduq phulon par KHud rahne wali phulon ki

    mana ki luTae raaton ko gulzar mein moti shabnam ne

    jab subh hui suraj nikla to jeb thi KHali phulon ki

    gulchin ki bhi nazren uThti hain sarsar ke bhi jhonke aate hain

    ho aise mein kis se kyun kar kab tak ye rakhwali phulon ki

    aati hai KHizan ab ruKHsat kar zinda jo rahe phir aaenge

    hum se to na dekhi jaegi mali pamali phulon ki

    har barg-e-shajar par KHush ho kar gulshan mein nichhawar karne ko

    nikhat ka KHazana khol diya himmat hai ye aali phulon ki

    phir rut badli phir abr uTha phir sard hawaen chalne lagin

    ho jae pari ban jae dulhan ab Dali Dali phulon ki

    haaron mein gundhe jakDe bhi gae gulshan bhi chhuTa sina bhi chhidda

    pahunche magar un ki gardan tak ye KHush-iqbaali phulon ki

    sayyaad ke ghar se gulshan tak allah kabhi pahunchae mujhe

    ummid nahin main KHush ho kar dekhun KHush-haali phulon ki

    gul-gasht mein bhi chalte phirte kaam us ne kiya ayyari ka

    iKHlas baDha kar phulon se har baat uDa li phulon ki

    mashuqon ke dahne baen to ushshaq ka majma rahta hai

    dekhi na anadil se hum ne mahfil kabhi KHali phulon ki

    hum apne dil mein daghon ko yun dekhte hain yun dekhte hain

    karta hai nigahbani jaise gulzar mein mali phulon ki

    jo lutf kabhi hasil tha hamein wo lutf chaman ke sath gaya

    ab kunj-e-qafas mein khinchte hain taswir-e-KHyali phulon ki

    shabnam ke bhi qatre gulshan mein bad-mast kiye dete hain mujhe

    labrez mai-e-ishrat se hui ek ek pyali phulon ki

    har misra-e-tar se hai paida gul-ha-e-mazamin ka jalwa

    ai 'nuh' kahun main is ko ghazal ya samjhun Dali phulon ki

    Source:

    Ejaz-e-Nooh (Pg. ebook-291 page-186)

    • Author: Mohammad Nooh Sahab Nooh
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now