Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

burai kya hai tum ilzam do burai ka

Jigar Barelvi

burai kya hai tum ilzam do burai ka

Jigar Barelvi

MORE BYJigar Barelvi

    burā.ī kyā hai tum ilzām do burā.ī

    bashar huuñ maiñ mujhe da.avā nahīñ ḳhudā.ī

    kiyā hai sajda kabhī nahīñ kiyā ḳhush huuñ

    jabīñ pe daaġh nahīñ sajda-e-riyā.ī

    kisī ke ishq meñ dīvāne ham na gar hote

    to raaz khul nahīñ saktā thā pārsā.ī

    zarā tum ab kahīñ chhup jaao har taḌap lau haiñ

    ki yaad aayā hai mujh ko mazā judā.ī

    nahīñ hai merī kisī aur hai ye bhī hadīs

    qusūr-vār agar huuñ maiñ ḳhud-satā.ī

    jise yaqīñ hai ki us ke nasīb meñ tum ho

    gunāh kyuuñ vo kare qismat-āzmā.ī

    ravāñ-davāñ huuñ mujhe apnī dhun meñ hosh kahāñ

    bahāna le ke jo baiThūñ shikasta-pā.ī

    usī raah meñ kāñTe bichhā.e jaate haiñ

    nasīb uzr jise hai barahna-pā.ī

    kise hai ilm nasīboñ meñ mire aap nahīñ

    ḳhayāl chhoḌ duuñ kyuuñ qismat-āzmā.ī

    jo ishq aam hai mere liye hai nañg-e-hayāt

    madār aur hai merī ġhazal-sarā.ī

    baḌā maza thā taḌapne meñ tilmilāne meñ

    na bhūltā hai na bhūlegā din judā.ī

    chaman ho aur shab-e-mahtāb-o-halqa-e-ahbāb

    maza jabhī hai 'jigar' kuchh ġhazal-sarā.ī

    burai kya hai tum ilzam do burai ka

    bashar hun main mujhe dawa nahin KHudai ka

    kiya hai sajda kabhi ya nahin kiya KHush hun

    jabin pe dagh nahin sajda-e-riyai ka

    kisi ke ishq mein diwane hum na gar hote

    to raaz khul nahin sakta tha parsai ka

    zara tum ab kahin chhup jao har taDap lau hain

    ki yaad aaya hai mujh ko maza judai ka

    nahin hai meri kisi aur ki hai ye bhi hadis

    qusur-war agar hun main KHud-satai ka

    jise yaqin hai ki us ke nasib mein tum ho

    gunah kyun wo kare qismat-azmai ka

    rawan-dawan hun mujhe apni dhun mein hosh kahan

    bahana le ke jo baiThun shikasta-pai ka

    usi ki rah mein kanTe bichhae jate hain

    nasib uzr jise hai barahna-pai ka

    kise hai ilm nasibon mein mere aap nahin

    KHayal chhoD dun kyun qismat-azmai ka

    jo ishq aam hai mere liye hai nang-e-hayat

    madar aur hai meri ghazal-sarai ka

    baDa maza tha taDapne mein tilmilane mein

    na bhulta hai na bhulega din judai ka

    chaman ho aur shab-e-mahtab-o-halqa-e-ahbab

    maza jabhi hai 'jigar' kuchh ghazal-sarai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now