bure hain bhale hain KHuda jaanta hai
bure haiñ bhale haiñ ḳhudā jāntā hai
hai nādāñ zamāna ye kyā jāntā hai
haiñ gul kitne nāzuk na patthar se pūchho
bhale ko jagat meñ bhalā jāntā hai
'ibādat se dil ye gurezāñ rahā par
faqat 'ishq kī ik davā jāntā hai
hai paapī purānā ye dil apnā 'rohit'
hasīnoñ kī saarī adā jāntā hai
bure hain bhale hain KHuda jaanta hai
hai nadan zamana ye kya jaanta hai
hain gul kitne nazuk na patthar se puchho
bhale ko jagat mein bhala jaanta hai
'ibaadat se dil ye gurezan raha par
faqat 'ishq ki ek dawa jaanta hai
hai papi purana ye dil apna 'rohit'
hasinon ki sari ada jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.