Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai

Inayat Ameen

bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai

Inayat Ameen

MORE BYInayat Ameen

    bure insāñ ko bad-kārī mehvar khīñch letā hai

    ki jaise-taise dariyā ko samundar khīñch letā hai

    bhare bāzār meñ us shaḳhs ko sañgsār kar denā

    gale se apnī biivī ke jo zevar khīñch letā hai

    qadam mere nikal paḌte haiñ jab gumrāh rastoñ par

    mujhe qur.ān jānib tirā dar khīñch letā hai

    maiñ apne biivī bachchoñ meñ kahāñ se pyaar bāñTūñgā

    lahū mere badan jabki daftar khīñch letā hai

    mire mahbūb tahrīr se hai kis qadar mānūs

    ḳhatoñ ke Dher se vo ḳhat kabūtar khīñch letā hai

    jahāñ ġhurbat bilaktī hai jahāñ ma.asūm rote haiñ

    mirī ġhazloñ shahzāda vo manzar khīñch letā hai

    javānī thī to man-mānī tūfāñ thā tabī.at meñ

    buḌhāpe meñ qadam rakkhā to bistar khīñch letā hai

    'amīn' ehsās terā Dūbtā hai jab taḳhayyul meñ

    samundar ke kināre se gauhar khīñch letā hai

    bure insan ko bad-kari ka mehwar khinch leta hai

    ki jaise-taise dariya ko samundar khinch leta hai

    bhare bazar mein us shaKHs ko sangsar kar dena

    gale se apni biwi ke jo zewar khinch leta hai

    qadam mere nikal paDte hain jab gumrah raston par

    mujhe quran ki jaanib tera dar khinch leta hai

    main apne biwi bachchon mein kahan se pyar banTunga

    lahu mere badan ka jabki daftar khinch leta hai

    mere mahbub ki tahrir se hai kis qadar manus

    KHaton ke Dher se wo KHat kabutar khinch leta hai

    jahan ghurbat bilakti hai jahan masum rote hain

    meri ghazlon ka shahzada wo manzar khinch leta hai

    jawani thi to man-mani ka tufan tha tabiat mein

    buDhape mein qadam rakkha to bistar khinch leta hai

    'amin' ehsas tera Dubta hai jab taKHayyul mein

    samundar ke kinare hi se gauhar khinch leta hai

    Source:

    Dhoop Samundar (Pg. 122)

    • Author: Inayat Ameen
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now