Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain

Riyaz Khairabadi

but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    but apne-āp ko kyā jaane kyā samajhte haiñ

    mirā ḳhudā unheñ samjhe ḳhudā samajhte haiñ

    adā-shanās apne adā samajhte haiñ

    ki be-kahe vo mirā mudda.ā samajhte haiñ

    samajhne vaale tumhārī adā samajhte haiñ

    vo aur kuchh hai jise sab qazā samajhte haiñ

    falak naam na le koī sāmne un ke

    vo us ke zikr ko apnā gilā samajhte haiñ

    mujhe ye aap ke sar qasam na thā ma.alūm

    ki aap bhī rah-o-rasm-e-vafā samajhte haiñ

    ye shoḳhiyāñ bhī hasīnoñ kyā qayāmat haiñ

    shab-e-visāl ko roz-e-jazā samajhte haiñ

    ye din shabāb ke haiñ koī kyā kahe un ko

    abhī vo kuchh nahīñ achchhā burā samajhte haiñ

    tumhāre kho.e huoñ ajiib maslak hai

    jo rāhzan bhī mile rahnumā samajhte haiñ

    shab-e-visāl mire ham-nashīñ se farmāyā

    yahī to haiñ jo hameñ bevafā samajhte haiñ

    ḳhudā kare kahīñ mauqe se mujh ko mil jaa.eñ

    yahī hasīñ jo mujhe pārsā samajhte haiñ

    hameñ ye haq hai tirā muñh bhī chūmte jaa.eñ

    ki tere shikva-e-bejā bajā samajhte haiñ

    na man.a kar mai-o-māshūq se hameñ vaa.iz

    ki ham shabāb meñ sab kuchh ravā samajhte haiñ

    ḳhudā shaan ye koThoñ ke baiThne vaale

    hamārī aah ko ab nā-rasā samajhte haiñ

    'riyāz' ishq meñ kāfir butoñ ke hai be-ḳhud

    mazā ye hai vo use pārsā samajhte haiñ

    but apne-ap ko kya jaane kya samajhte hain

    mera KHuda unhen samjhe KHuda samajhte hain

    ada-shanas ki apne ada samajhte hain

    ki be-kahe wo mera muddaa samajhte hain

    samajhne wale tumhaari ada samajhte hain

    wo aur kuchh hai jise sab qaza samajhte hain

    falak ka nam na le koi samne un ke

    wo us ke zikr ko apna gila samajhte hain

    mujhe ye aap ke sar ki qasam na tha malum

    ki aap bhi rah-o-rasm-e-wafa samajhte hain

    ye shoKHiyan bhi hasinon ki kya qayamat hain

    shab-e-visal ko roz-e-jaza samajhte hain

    ye din shabab ke hain koi kya kahe un ko

    abhi wo kuchh nahin achchha bura samajhte hain

    tumhaare khoe huon ka ajib maslak hai

    jo rahzan bhi mile rahnuma samajhte hain

    shab-e-visal mere ham-nashin se farmaya

    yahi to hain jo hamein bewafa samajhte hain

    KHuda kare kahin mauqe se mujh ko mil jaen

    yahi hasin jo mujhe parsa samajhte hain

    hamein ye haq hai tera munh bhi chumte jaen

    ki tere shikwa-e-beja baja samajhte hain

    na mana kar mai-o-mashuq se hamein waiz

    ki hum shabab mein sab kuchh rawa samajhte hain

    KHuda ki shan ye koThon ke baiThne wale

    hamari aah ko ab na-rasa samajhte hain

    'riyaz' ishq mein kafir buton ke hai be-KHud

    maza ye hai wo use parsa samajhte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now