Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

but-kada nazdik kaba dur tha

Hafeez Jaunpuri

but-kada nazdik kaba dur tha

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    but-kada nazdīk ka.aba duur thā

    maiñ idhar rah gayā majbūr thā

    shaam se ham kahīñ jaate the roz

    muddatoñ apnā yahī dastūr thā

    vo kiyā jis meñ ḳhushī thī aap

    vo huā jo aap ko manzūr thā

    kuchh adab se rah ga.e naale idhar

    kyā batā.eñ arsh kitnī duur thā

    jis ghaḌī thā us ke jalve zuhūr

    arsh ham-sang koh-e-tūr thā

    ik hasīñ aa gayā jo tazkira

    der tak mahfil meñ zikr-e-hūr thā

    vasl shab thī shab-e-me.arāj kyā

    duur tak phailā huā ik nuur thā

    har kas-o-nā-kas se kyā miltī nigāh

    apnī āñkhoñ meñ but-e-maġhrūr thā

    umr bhar fikr-e-suḳhan meñ thā 'hafīz'

    shā.erī dil meñ ik nāsūr thā

    but-kada nazdik kaba dur tha

    main idhar hi rah gaya majbur tha

    sham hi se hum kahin jate the roz

    muddaton apna yahi dastur tha

    wo kiya jis mein KHushi thi aap ki

    wo hua jo aap ko manzur tha

    kuchh adab se rah gae nale idhar

    kya bataen arsh kitni dur tha

    jis ghaDi tha us ke jalwe ka zuhur

    arsh ka ham-sang koh-e-tur tha

    ek hasin ka aa gaya jo tazkira

    der tak mahfil mein zikr-e-hur tha

    wasl ki shab thi shab-e-mearaj kya

    dur tak phaila hua ek nur tha

    har kas-o-na-kas se kya milti nigah

    apni aankhon mein but-e-maghrur tha

    umr bhar fikr-e-suKHan mein tha 'hafiz'

    shaeri ka dil mein ek nasur tha

    Source:

    Diwan-e-Hafeez(Rekhta Website) (Pg. 18)

    • Author: Hafeez Jaunpuri
      • Edition: 1903
      • Publisher: Matba Hakeem,Gorakhpur
      • Year of Publication: 1903
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now