Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai

Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai

Haji Shafiullah Shafi Bahraichi

MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi

    butān-e-dahr har har adā rangīn hotī hai

    hasīn sūrat koī ho qābil-e-tahsīn hotī hai

    zamīn-e-sher jab us ko atā rangīn hotī hai

    tabī.at shā.er-e-fitrat kyoñ ġhamgīn hotī hai

    tabī.at muztarib bechain aur ġhamgīn hotī hai

    magar īfā-e-va.ada par kuchh taskīn hotī hai

    hamesha ḳhuun hotā rahā jazbāt-e-ulfat

    rifāqat husn vāloñ baḌī sangīn hotī hai

    ye maanā mausam-e-gul hai magar dāman na phaaḌ apnā

    are dīvāne is meñ ishq tauhīn hotī hai

    jagah deñ laakh āñkhoñ meñ 'shafī.a' mai-ḳhvār-e-mai-ḳhāna

    magar phir bhī janāb-e-shaiḳh tauhīn hotī hai

    butan-e-dahr ki har har ada rangin hoti hai

    hasin surat koi ho qabil-e-tahsin hoti hai

    zamin-e-sher jab us ko ata rangin hoti hai

    tabiat shaer-e-fitrat ki kyon ghamgin hoti hai

    tabiat muztarib bechain aur ghamgin hoti hai

    magar ifa-e-wada par hi kuchh taskin hoti hai

    hamesha KHun hi hota raha jazbaat-e-ulfat ka

    rifaqat husn walon ki baDi sangin hoti hai

    ye mana mausam-e-gul hai magar daman na phaD apna

    are diwane is mein ishq ki tauhin hoti hai

    jagah den lakh aankhon mein 'shafia' mai-KHwar-e-mai-KHana

    magar phir bhi janab-e-shaiKH ki tauhin hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now