buton ki aankh mein kya KHwab jhilmilata hai
butoñ kī aañkh meñ kyā ḳhvāb jhilmilātā hai
rukā huā ho jo manzar to kaun aatā hai
usī ke lams se zinda nuqūsh haiñ mere
vo apne haath se mūrat merī banātā hai
vo zarf dekh ke detā hai dard chāhat ke
phir us ke ba.ad mohabbat ko āzmātā hai
ridā-e-charḳh meñ Tāñke haiñ hijr ne taare
ye suut sadiyoñ kī ḳhāmoshiyoñ ne kaatā hai
vafā kā likhtā hai anjām ishq se pahle
phir us ke ba.ad nagar pyaar kā basātā hai
tumhāre hote hue ḳhaak ho ga.ī kaise
tumhāre saath mirā kis tarah kā naatā hai
rukā huā hai jo manzar vo us kā hissa hai
bhalā lakīr se bāhar bhī koī aatā hai
buton ki aankh mein kya KHwab jhilmilata hai
ruka hua ho jo manzar to kaun aata hai
usi ke lams se zinda nuqush hain mere
wo apne hath se murat meri banata hai
wo zarf dekh ke deta hai dard chahat ke
phir us ke baad mohabbat ko aazmata hai
rida-e-charKH mein Tanke hain hijr ne tare
ye sut sadiyon ki KHamoshiyon ne kata hai
wafa ka likhta hai anjam ishq se pahle
phir us ke baad nagar pyar ka basata hai
tumhaare hote hue KHak ho gai kaise
tumhaare sath mera kis tarah ka nata hai
ruka hua hai jo manzar wo us ka hissa hai
bhala lakir se bahar bhi koi aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.