Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buton ko faeda kya hai jo humse jang karte hain

Raza Azimabadi

buton ko faeda kya hai jo humse jang karte hain

Raza Azimabadi

MORE BYRaza Azimabadi

    butoñ ko fā.eda kyā hai jo ham se jañg karte haiñ

    ḳhafā jo zindagī se huuñ unheñ kyuuñ tañg karte haiñ

    idhar ūdhar se phir terī galī meñ dil le aatā hai

    taraf dair o haram ke jab kabhī āhañg karte haiñ

    kisī aur ke ghar ko kījiyo sayyād taz.īñ

    ham apne ḳhuun se is qafas par rañg karte haiñ

    ba-tañg aa kar ke aalam ne garebāñ chaak kar Daalā

    butāñ phir kis liye jaame ko apne tañg karte haiñ

    use to taab dam bhī nahīñ juuñ aa.ina ḳhūbāñ

    'razā' tarf se kyuuñ apne ko tañg karte haiñ

    buton ko faeda kya hai jo hum se jang karte hain

    KHafa jo zindagi se hun unhen kyun tang karte hain

    idhar udhar se phir teri gali mein dil le aata hai

    taraf dair o haram ke jab kabhi aahang karte hain

    kisi aur hi ke ghar ko kijiyo sayyaad tu tazin

    hum apne KHun hi se is qafas par rang karte hain

    ba-tang aa kar ke aalam ne gareban chaak kar Dala

    butan phir kis liye jame ko apne tang karte hain

    use to tab dam ki bhi nahin jun aaina KHuban

    'raza' ki tarf se kyun apne ji ko tang karte hain

    Source:

    Deewan-e-Raza Azeemabadi (Pg. ebook-68 page-46)

    • Author: Qazi Abdul Wadood
      • Edition: 1956
      • Publisher: Idara-e-Tahqiqat-e-Urdu, Patna
      • Year of Publication: 1984
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now