Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua

Khalid Hasan Qadiri

buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua

Khalid Hasan Qadiri

MORE BYKhalid Hasan Qadiri

    butoñ se kuchh na huā jo huā ḳhudā se huā

    davā se kuchh na banā jo huā du'ā se huā

    bharam darāzī-e-dāmān-e-yār na rahā

    ajiib kaam mire dast-e-nā-rasā se huā

    diloñ ko sabr-o-sukūñ to na mil sakā lekin

    koī to kaam tirī chashm-e-bā-hayā se huā

    lagā aag jañgal meñ nā-bakāroñ ke

    ye fā.eda to mirī ātishīñ-navā se huā

    diloñ ko ishq ne baḳhshī hayāt-e-ġham-afzā

    ajab nishāna ḳhatā tīr-e-be-ḳhatā se huā

    qalandaroñ ne ulaT bisāt-e-mai-ḳhāna

    na rind se huā aur kuchh na pārsā se huā

    muḳhālifoñ bhī jo dushmanī se ho na sakā

    vo kaam ik mire dam-sāz-o-āshnā se huā

    na kuchh bhī kar sake as.hāb-e-fīl the to bahut

    jo kuchh huā tire darvesh-e-be-navā se huā

    ghuTan to dil rahī qasr-e-marmarīñ meñ bhī

    na raushnī se huā kuchh na kuchh havā se huā

    vo ek qatl ilzām sar pe thā so rahā

    qisās se na huā kuchh na ḳhūñ-bahā se huā

    buton se kuchh na hua jo hua KHuda se hua

    dawa se kuchh na bana jo hua du'a se hua

    bharam daraazi-e-daman-e-yar ka na raha

    ajib kaam mere dast-e-na-rasa se hua

    dilon ko sabr-o-sukun to na mil saka lekin

    koi to kaam teri chashm-e-ba-haya se hua

    laga di aag si jangal mein na-bakaron ke

    ye faeda to meri aatishin-nawa se hua

    dilon ko ishq ne baKHshi hayat-e-gham-afza

    ajab nishana KHata tir-e-be-KHata se hua

    qalandaron ne ulaT di bisat-e-mai-KHana

    na rind se hua aur kuchh na parsa se hua

    muKHalifon ki bhi jo dushmani se ho na saka

    wo kaam ek mere dam-saz-o-ashna se hua

    na kuchh bhi kar sake ashab-e-fil the to bahut

    jo kuchh hua tere darwesh-e-be-nawa se hua

    ghuTan to dil ki rahi qasr-e-marmarin mein bhi

    na raushni se hua kuchh na kuchh hawa se hua

    wo ek qatl ka ilzam sar pe tha so raha

    qisas se na hua kuchh na KHun-baha se hua

    Source:

    Sada-e-sher-e-fusu.n (Pg. 23)

    • Author: Khalid Hassan Qadrii
      • Edition: 2001
      • Publisher: Asif Javed
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now