Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe

Vahshi Kanpuri

bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe

Vahshi Kanpuri

MORE BYVahshi Kanpuri

    bū-e-gul baaġh meñ barham nazar aatī hai mujhe

    fasl-e-gul sūrat-e-shabnam nazar aatī hai mujhe

    sham-e-ummīd lau bād-e-havādis meñ bhī

    apne markaz pe har dam nazar aatī hai mujhe

    garm-raftār haiñ ḳhurshīd-o-mah-o-arz-o-samā

    zindagī jumbish-e-paiham nazar aatī hai mujhe

    ġham-o-andoh o masā.ib ke siyah abr meñ bhī

    ik tajallī hai jo paiham nazar aatī hai mujhe

    jaane kyā aaj gulistāñ meñ payām aayā hai

    aañkh har phuul pur-nam nazar aatī hai mujhe

    shām-e-ġham hai ye ki hai matla-e-shām-e-ummīd

    raushnī tāroñ maddham nazar aatī hai mujhe

    nāla-e-nīm-shabī āh-o-fuġhān-e-saharī

    har sadā ishq mub.ham nazar aatī hai mujhe

    har dar-e-mai-kadā-e-ishq ke aage 'vahshī'

    zohd-o-taqvā jabīñ ḳham nazar aatī hai mujhe

    bu-e-gul bagh mein barham nazar aati hai mujhe

    fasl-e-gul surat-e-shabnam nazar aati hai mujhe

    sham-e-ummid ki lau baad-e-hawadis mein bhi

    apne markaz pe hi har dam nazar aati hai mujhe

    garm-raftar hain KHurshid-o-mah-o-arz-o-sama

    zindagi jumbish-e-paiham nazar aati hai mujhe

    gham-o-andoh o masaib ke siyah abr mein bhi

    ek tajalli hai jo paiham nazar aati hai mujhe

    jaane kya aaj gulistan mein payam aaya hai

    aankh har phul ki pur-nam nazar aati hai mujhe

    sham-e-gham hai ye ki hai matla-e-sham-e-ummid

    raushni taron ki maddham nazar aati hai mujhe

    nala-e-nim-shabi aah-o-fughan-e-sahari

    har sada ishq ki mubham nazar aati hai mujhe

    har dar-e-mai-kada-e-ishq ke aage 'wahshi'

    zohd-o-taqwa ki jabin KHam nazar aati hai mujhe

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Wahshi Kanpuri (Pg. 50)

      • Publisher: Shah Nawaz Qureshi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now