Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko

Jaleel Manikpuri

bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko

Jaleel Manikpuri

MORE BYJaleel Manikpuri

    bū-e-mai ke maiñ chaltā huā mai-ḳhāne ko

    ik parī thī ki lagā le ga.ī dīvāne ko

    mere saaqī kahāñ koī pilāne vaalā

    āñkheñ kahtī haiñ luTā dījiye mai-ḳhāne ko

    saḳhtī-e-ishq uThāne zamāna na rahā

    ab to hai phuul bhī pathar tire dīvāne ko

    haath meñ aate kyā paañv nikāle saaqī

    āfrīñ hai tire chalte hue paimāne ko

    is meñ ai ahl-e-vatan raa.e tumhārī kyā hai

    kahtī hai vahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko

    chal gayā kaam yahāñ jaam chale na chale

    bāda-kash lauT ga.e dekh kai mai-ḳhāne ko

    dil sulagte raheñ parvā nahīñ hotī kuchh unheñ

    sham.a achchhī ki jalā detī hai parvāne ko

    shāmil-e-daur hoñ aġhyār sitam hai saaqī

    apne paimāne se baḌhne de na paimāne ko

    Husn-e-ḳhidmat sila dekhiye yuuñ paate haiñ

    ruḳh milā aa.ine ko zulf milī shāne ko

    chaal hai mast nazar mast adā meñ mastī

    jaise aate haiñ vo TuuTe ho.e mai-ḳhāne ko

    abr meñ barq rah rah ke chamaknā kaisā

    ye bhī ik us hai shoḳhī mire taḌpāne ko

    is meñ ai parda-nashīñ parda-darī kis hai

    dekhne aatī hai ḳhilqat tire dīvāne ko

    ḳhuub insāf hai ai bāda-kasho kyā kahnā

    tum ko taskīn ho gardish ho jo paimāne ko

    hai baḌī chiiz lagī dil ḳhudā jas ko de

    aag meñ kuud paḌā dekhiye parvāne ko

    ho ke pāband-e-junūñ sab se rihā.ī paa.ī

    beḌiyāñ lipTī thiiñ lākhoñ tire dīvāne ko

    khiñch chukī teġh to ab hai ye rukāvaT kaisī

    aap taḌpāne ko aa.e haiñ ki tarsāne ko

    koī aisī bhī hai sūrat tire sadqe saaqī

    rakh luuñ maiñ dil meñ uThā kar tire mai-ḳhāne ko

    but-e-pindār ko toḌo to ho dil paak 'jalīl'

    tum ḳhudā-ḳhāna banāo isī but-ḳhāne ko

    bu-e-mai pa ke main chalta hua mai-KHane ko

    ek pari thi ki laga le gai diwane ko

    mere saqi sa kahan koi pilane wala

    aankhen kahti hain luTa dijiye mai-KHane ko

    saKHti-e-ishq uThane ka zamana na raha

    ab to hai phul bhi pathar tere diwane ko

    hath mein aate hi kya panw nikale saqi

    aafrin hai tere chalte hue paimane ko

    is mein ai ahl-e-watan rae tumhaari kya hai

    kahti hai wahshat-e-dil ghar se nikal jaane ko

    chal gaya kaam yahan jam chale ya na chale

    baada-kash lauT gae dekh kai mai-KHane ko

    dil sulagte rahen parwa nahin hoti kuchh unhen

    shama achchhi ki jala deti hai parwane ko

    shamil-e-daur hon aghyar sitam hai saqi

    apne paimane se baDhne de na paimane ko

    Husn-e-KHidmat ka sila dekhiye yun pate hain

    ruKH mila aaine ko zulf mili shane ko

    chaal hai mast nazar mast ada mein masti

    jaise aate hain wo TuTe hoe mai-KHane ko

    abr mein barq ka rah rah ke chamakna kaisa

    ye bhi ek us ki hai shoKHi mere taDpane ko

    is mein ai parda-nashin parda-dari kis ki hai

    dekhne aati hai KHilqat tere diwane ko

    KHub insaf hai ai baada-kasho kya kahna

    tum ko taskin ho gardish ho jo paimane ko

    hai baDi chiz lagi dil ki KHuda jas ko de

    aag mein kud paDa dekhiye parwane ko

    ho ke paband-e-junun sab se rihai pai

    beDiyan lipTi thin lakhon tere diwane ko

    khinch chuki tegh to ab hai ye rukawaT kaisi

    aap taDpane ko aae hain ki tarsane ko

    koi aisi bhi hai surat tere sadqe saqi

    rakh lun main dil mein uTha kar tere mai-KHane ko

    but-e-pindar ko toDo to ho dil pak 'jalil'

    tum KHuda-KHana banao isi but-KHane ko

    Source:

    Taaj-e-sukhan (Pg. ebook-193 page-166)

    • Author: Jang Bahadur Jalil
      • Edition: 1931
      • Publisher: Nizami Press, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now